aanaa hii paDegaa Lyrics - Shyam | Talat Mahmood | Talat Mehmood

1958

Lyrics

##
udaas udaas fizaaon men nuur chhalakaao
bujhe bujhe hue taaron ko hans ke chamakaao
gurur-e-husn salaamat na raah dikhalaao
rabag duub gayaa, khuune ab to aa jaao (?)
aana hii padegaa, aanaa hii padegaa
sar ishq ke kadamon pe jhukaanaa hii padegaa
aanaa hii padegaa
( nagamaa meraa har saans men ras ghol rahaa hai
is saans ke parade men khudaa bol rahaa hai ) - 2
chhedaa hai agar saaz to gaanaa hii padegaa - 2
sar ishq ke kadamon pe jhukaanaa hii padegaa
aanaa hii padegaa
aanaa hii padegaa aa aa
( tapakegaa lahuu dard bhare raag se kab tak
khelegii teri mast adaa aag se kab tak ) - 2
is khel men ab haath jalaanaa hii padegaa - 2
sar ishq ke kadamon pe jhukaanaa hii padegaa
aanaa hii padega
aanaa hii padegaa aa aa
( ulfat kabhii duniya se daregii na darii hai
phuulon se javani ne sadaa maang bharii hai ) - 2
hansane ke liye zakhm to khaanaa hii padegaa - 2
aana hii padega - 4