.It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . This song was released on 01 Jan 2018.
aaj dil pe koi zor chalataa nahiin
muskuraane lage the magar ro pade
roz hii kii tarah aaj bhii dard thaa
ham chhupaane lage the magar ro pade
aur ab kyaa kahen, kyaa huaa hai hamen
tum to ho bekhabar, ham bhii anjaan hain
bas yahi jaan lo to bahut ho gayaa
ham bhii rakhate hain dil, ham bhii insaan hain
muskuraate hue ham bahaanaa koi
fir banaane lage the magar ro pade
hain sitaare kahaan itane aakaash par
har ek ko agar ik sitaaraa mile
kashtiyon ke liye ye bhanvar bhii to hain
kyaa zaruuri hai har ek ko kinaaraa mile
bas yahi soch kar ham badhe chain se
duub jaane lage the magar ro pade
umr bhar kaash ham yuun hii rote rahe
aaj kyuun ke hamen ye hui hai khabar
muskuraahat kii to koi kimat nahiin
aansuon se hui hai hamaari kadar
baadalon kii tarah ham to barase binaa
laut jaane lage the magar ro pade