Ye waada karo baag mein song is from and it is sung by .It stars , , and in leading roles. This song is penned by and composed by . This song was released on 01 Jan 2018.
Ye waada karo baag
Mein na aaya karoge
Ye waada karo baag
Mein na aaya karoge
Ye kaliyaan sharmaatin hain
Bahaarein jal jaatin hain
Yoon bahaaron ka
Bahaaron ka dil
Na jalaya karoge
Ye waada karo baag
Mein na aaya karoge
Ye waada karo baag
Mein na aaya karoge


Do ghadi baagh
Mein aapka aana
Aake phoolon ki
Rangat udaa jaana
Ho do ghadi baag
Mein aapka aana
Aake phoolon ki
Rangat udaa jaana
Zulf lahra jaati hai
Ghata si chaa jaati hai
Qayaamat aa jaati hai
Yoon qayaamat kabhi
Na uthaya karoge
Ye waada karo baag
Mein na aaya karoge
Ye waada karo baag
Mein na aaya karoge


Koyi naghma jo bhoole
Se chheda yahaan
Jaayenge bulbulon
Ke taraane kahaan
Ho koyi naghma jo
Bhoole se chheda yahaan
Jaayenge bulbulon
Ke taraane kahaan
Chalo yoon haule haule
Tarana paayal bole
Chaman ka dil na dole
Yoon chaman pe naa
Bizli giraya karoge
Ye waada karo baag
Mein na aaya karoge
Ye waada karo baag
Mein na aaya karoge
Ye kaliyaan sharmaatin hain
Bahaarein jal jaatin hain
Yoon bahaaron ka
Bahaaron ka dil na jalaya karoge
Ye waada karo baag
Mein na aaya karoge
Ye waada karo baag
Mein na aaya karoge.