Ye Shahar Bada Lyrics - Shahrukh Khan | Farooq Sheikh | Paresh Rawal | Lata Mangeshkar

1993

Lyrics

Iss dil mein bas kar dekho toh
Iss dil mein bas kar dekho toh
Yeh shehar bada purana hai
Shehar bada purana hai
Yeh shehar bada purana hai
Shehar bada purana hai
Har saans mein kahaani hai
Har saans mein afsaana hai
Yeh shehar bada purana hai
Shehar bada purana hai

Yeh basti dil ki basti hai
Yeh basti dil ki basti hai
Kuchh dard hai
kuchh ruswaai hai
Yeh basti dil ki basti hai
Kuchh dard hai
kuchh ruswaai hai
Yeh kitani bar ujadi hai
Yeh kitani bar basayi hai
Yeh shehar bada purana hai
Shehar bada purana hai

Yeh jism hai kachchi mitti ka
Yeh jism hai kachchi mitti ka
Bhar jaaye toh risne lagta hai
Yeh jism hai kachchi mitti ka
Bhar jaaye toh risne lagta hai
Baahon mein koi thamae toh
Aagosh mein girne lagtaa hai
Yeh shehar bada purana hai
Shehar bada purana hai

Iss dil mein bas kar dekho toh
Iss dil mein bas kar dekho toh
Yeh shehar bada purana hai
Shehar bada purana hai.