LyricsTashan

ये दुनिया Ye Dunya Lyrics - Sherry Khattak | Talha Anjum

in Tvshow

Watch the Video

Song Information

ये दुनिया ye dunya song is from and it is sung by , , and . Record label of this song is Coke Studio. This song is written by . It is produced by Muhammad Ibrahim. This song was released on 14 Jan 2022.
Executive Producer: Muhammad Ibrahim
Creative & Project Head: Wajeeha Badar
Creative Manager: Sherry Khattak
Creative Manager: Zahra Aamer
Operations Manager: Saad Mansoor

Lyrics

Chehre badalte jayenge
Chalti jayegi, chalti jayegi
Ye duniya rukti hai kahan
Kisi ke bhi liye

Chehre badalte rahe
Zindagi waise hi chalti rahi
Duniya badalti hai fitraat hai
Isme hamari koi galti nahi
Palati rahi dil mein udaasi
Andheron se leke raushani tak
Khamiyon se khamoshiyon tak
Hosh se leke madhoshiyon tak

Afsos nahi ke afsaane likhe
Wuh afsaane mabni afsurdagi par
Khuda to deta hai behisab
Mere dard mein thodi to kaami kar

Khile naa kyu yahan ab woh gulab
Joh rahi bahar ki kaami bas
Kismaat hamare hi hatth mein hai
Usne ikhtiyar ki hai kami bas

Woh log bhi gujaar gaye
Woh ghar bhi jal chuke
Wahan kuch nahi
Wahan se ab dard uthe

Zakhm toh badenge dost
Waqt ki maharm mein sifaa hai
Par waqt pe reham hai dost
Woh kab kisi ke liye rukha hai

Jukhe na saar
Fehla na hatth hamare
Bas yahin dua hai
Kabhi kabhi aaye soch
Jo huya hai thik hi huya hai

Sabar se sabaq jo mile hai
Sabar se ab meri sulah hai
Ke koi nahi hai agar tera
Toh meri jaan khuda hai

Chehre badalte jayenge
Chalti jayegi, chalti jayegi
Ye duniya rukti hai kahan
Kisi ke bhi liye
Kisi ke bhi liye

1 minute ruki mera wait kar
Ok then shafi bhai take one
Kaha suna maaf kijiyega
Shalimar garden mein saade panch baaje
Mera shoot ke liye hair and make-up
Jaldi mere shades laa
Lekin pehle check the parameter

Gaano ke badhte decibels
Cheque pe badhte decimel
It’s incredible!
Jaise ismaat chughtai
Kaise kismat khul aayi
I think about this at night

Jeewen baarishan de weather da
Marshall mathers
Mera instinct animalistic
Mad magician ya mathematician
I never take second position

I’m getting ballistic, cataclysmic
Bilkul asli, likhoon meticulously
Lafaz mere medicinal se
Love kiya maine qalam se
Sach bola maine kasam se
Rang dekho kaise badalte dikhte hai sab ke
Karte qabze baatein pakki waade kache
I’ve had enough of it, but i keep on going

Got no option, but to keep flowing
Keep the toxic outta’ my zone
Rakkhen tashreef apni off of my throne
But before i got to go, let me tell you this
One thing i need you to know
If you ever need a friend, you can call my phone
‘cuz you’re not alone

You’re not alone
You’re not alone

Sheharon mein ghoomun
Main dhoondun kya?
Sheharon mein ghoomoon bewajah
Sab kuch main keh doon
Dil mein hai kya?
Sab kuch main keh doon bewajah

Sab kuch main keh doon
Chehre badalte rahe
Hum isi sehar mein chalte rahe
Sab kuch main keh doon
Ghar tha weeran mera
Aur hum akele hi jalte rahe

Dhale shaam aur din chadhe
Chalo roshni ke samt chale
Apni zaat pe yakeen mera
Azaa’im hi mujhe azeem kare
Hukeem hai qalam aleel ke liye
Kehne ko tere rafeeq to hai
Par phir bhi peeth peeche kyun
Yeh hareef bane ajeeb yeh

Chehre badalte jayenge
Chalti jayegi, chalti jayegi
Ye duniya rukti hai kahan
Kisi ke bhi liye
Kisi ke bhi liye

Ke koi nahi agar tera
Toh meri jaan khuda hai
‘cuz you’re not alone
Ke koi nahi agar tera
Toh meri jaan khuda hai
You’re not alone
Duniya…

You’re not alone
Ke koi nahi agar tera
Toh meri jaan khuda hai.

Related Songs

More songs from Coke Studio-Season 14
More songs of Sherry Khattak
More songs of Talha Anjum