Yaara (title) song is from and it is sung by .It stars and in leading roles. This song is penned by and composed by . This song was released on 23 Dec 2017.
Yaara teri galiyon mein
Yaadein huyi aawara


Yaara teri galiyon mein
Yaadein huyi aawara
Rag rag behati aankhein
Dar dar behaki yaadein
Rag rag behati aankhein
Dar dar behaki yaadein
Soyi soyi har gali se uth rahi hai
Sard saansein bheegi raatein
Yaara inhi raahon pe
Tha dil kisi ne haara
Yaara teri galiyon mein
Yaadein huyi aawara


Teri gali mein yaara
Kabse bhatak raha hoon
Tu chilmano ke pichhe
Main bepard jal raha hoon
Hai dar badar fakeeri
Hai dar badar fakeeri
Tera hoon bas tera hoon
Leke yahin tamanna jee jee
Ke mar raha hoon


Chhuti chhuti jaaye raahi
Ruthi ruthi si sadaayein
Uss athariya tera manjar
Ek leher si uth
Rahi hai dil ke andar
Yaara tere kuche mein
Tuta hai koyi taara
Yaara teri galiyon mein
Yaadein huyi aawara


Maangu khuda se abb kya
Ik shab wasal ki paayi
Kaisi kathin thi raahein
Kitne thake the raahi
Sehra mein thi aawaazein
Dekhi na par dikhaayi
Dariya mein uthati mauje
Maujon se aashinaayi


Sehra sehra teri aahat
Dariya dariya teri chaahat
Baadlon ka chup se aana
Baras jaan kya
Haqiqat kya fasaana
Yaara inhi ramjo mein
Paaya tera najaara
Yaara teri galiyon mein
Yaadein huyi aawara.