Woh teri duniya nahin song is from and it is sung by and .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Rahul Rawail. This song was released on 10 Apr 1987.
Us taraf mat ja udhar rasta to hai manzil nahin
Woh teri duniya nahin, woh teri mehfil nahin

Rote teri yaad mein guzrega har sawan mera

Jab kahenge log daku ban gaya saajan tera
Mujhpe kya, mujhpe kya
Mujhpe kya guzregi tu is baat se ghaafil nahin
Us taraf mat ja udhar rasta to hai manzil nahin
Woh teri duniya nahin, woh teri mehfil nahin

Geet bulbul ka hai yeh koyal ki meethi kook hai

Zindagi hai phool tere hath mein bandook hai
Tu mera, tu mera
Tu mera saajan hai saajan tu koyi qaatil nahin
Us taraf mat ja udhar rasta to hai manzil nahin
Woh teri duniya nahin, woh teri mehfil nahin

Har kasam ko todkar, har ek vaada todkar

Ja raha hai aaj tu nafrat se sabko chhodkar
Kya meri, kya meri
Kya meri chahat bhi tere pyar ke kabil nahin