Waqt Ki Keemat Lyrics - Nidaan | Sanjay Dutt | Mohan Joshi | Reema Lagoo | Nandu Bhende (Sadanand Atmaram Bhende) | Sagarika Mukherjee
in Movies
Watch the Video
Song Information
Waqt ki keemat song is from Nidaan (2000) and it is sung by Nandu Bhende (Sadanand Atmaram Bhende) and Sagarika Mukherjee.It stars Sanjay Dutt, Mohan Joshi, Reema Lagoo, Shama Deshpande in leading roles. This song is penned by Gautam Joglekar and composed by Rahul Ranade. It is produced by R.V. Pandit. This song was released on 28 Jul 2000.
Lyrics
Kahe ko bante ho kartus
Kyu bigadte ho plan
Kahe ko bante ho kartus
Kyu bigadte ho plan
Baate karo zara matlab ki
Kya kharabi hai dilbar mein
Thode gaane thodi ladai
Kuch pal bitaye aao masti mein
Dekha hai karlo padhai
Waqt ki keemat pehchano tum
Dil ki kadar karna jano tum
Waqt ki keemat pehchano tum
Dil ki kadar karna jano tum
Aisa hai to kyu jate ho
Dekh cricket ka match
Ae sala meri to wicket gayi
Kahe ko chhoda retek
Waqt ki keemat pehchano tum
Dil ki kadar karna jano tum
Waqt ki keemat pehchano tum
Dil ki kadar karna jano tum
Sports mein hoti hai kasrat
Upar se hota hai fun
Sharirik swasty ka karne jatan
Khelna kudna jaruri hai
Karo na filmo se nafrat
Isme bhi hota hai fun
Dene khayalo ko motivation
Filme dekhna jaruri hai
Filmo ki keemat pehchano tum
Dil ki kadar karna jano tum
Filmo ki keemat pehchano tum
Dil ki kadar karna jano tum
Entertainment ke saath saath
Bahot kuvh sikhne ko milta hai
Apne crazy sapno ko
Sachmuch dekhne ko milta hai
Khas kar jab iss film mein ho
Mera sanju baba
Chahe ho romantic seen
Chahe ho khun kharaba
Uske jaisa koi aur nahi hai
North south east ya west
Mera dilbar sab se hasi hai
Mera sanju hai sab se best
Sanju ko pehchano tum
Uski kadar karna jano tum
Sanju ko pehchano tum
Uski kadar karna jano tum
Maan bhi jaaye agar hum
Tumhara kehna sahi hai
Ye to batao aisa kya hai
Us mein jo hum mein nahi hai
Socha nahi tha ho sakte ho
Tum itne bhi anadi
Maar rahe ho aap hi apne
Pairo par kulhadi
Sanju ko pehchano tum
Uski kadar karna jano tum
Sanju ko pehchano tum
Uski kadar karna jano tum
Mere sanju height
Height to meri bhi hai
Mere sanju ki fight
Fight to meri bhi hai
Mere sanju ke baal
Kudi baal to sade bhi hai
Mere sanju chaal
Chaal to meri bhi hai
Mere sanju body
Body to meri bhi hai
Uski kaali kaali aankhen
Thodi to meri bhi hai
Mere sanju ki smile
Mere sanju ki ada
Har handsome hai uspe fida
Har handsome hai uspe fida
Har handsome hai uspe fida
Actually dekha jaaye to
Humko bhi hai wo bhata
Really uski filmo mein
Bahot maza hai aata
Ab behas karna tum chhodo
Waqt nahi hai jyada
Bas sanju se milna hai
Pakka hai ye irada
Sanju ko pehchano tum
Uski kadar karna jano tum
Sanju ko pehchano tum
Uski kadar karna jano tum
Sanju ko pehchano tum
Uski kadar karna jano tum
Sanju ko pehchano tum
Uski kadar karna jano tum.