Tumase juda hokar, maine yeh jana hai song is from and it is sung by .It stars Hemachandra in leading roles. This song was released on 01 Jan 2018.
tumse juda hokar, maine yeh jana hai
pyar me thoda sa khona hai pana hai
tumse juda hokar, maine yeh jana hai
pyar me thoda sa khona hai pana hai
gujre hai pal sabhi teri hi yad me
meree yado ke sang tera hee saya hai
tumse juda hokar, maine yeh jana hai
pyar me thoda sa khona hai pana hai

kash yeh ho jaye tum kbhi aa jao
dil meraa mujhse yeh kehta hai
yeh dil tanhayi me yado ko odhke
khayalon me duba hua rehta hai
abb bhee teri khushbu hai meri sanso me
ehsas terahi mujhme samaya hai
tumse juda hokar, maine yeh jana hai
pyar me thoda sa khona hai pana hai

bin tere kuchh nahee yeh phalak aur jamin
teree diwanagi me rehta hu
tu kahan dur hai mujhme maujud hai
mai teri aahato ko sunta hu
tum ruh me basi, tum jismo jaan me
ek tera hee arman man me basaya hai
tumse juda hokar, maine yeh jana hai
pyar me thoda sa khona hai pana hai
gujre hai pal sabhi teree hi yad me
meri yado ke sang tera hi saya hai
tumse juda hokar, maine yeh jana hai
pyar me thoda sa khona hai pana hai