Trigger song is sung by . This song is penned by and composed by . This song was released on 24 Apr 2019.
For Special discount, Use Coupon code: CARRYRAP
Mixing/mastering - Aditya Verma (IG: avee_official)
Managed by- Anirudh Nagpal (IG:anirudh95) & Aman Garg (IG: woovy_groovy)
Thumbnail - (IG: mrunknown.official)
Promotional Creatives - (IG: anonymous_friend7)
Yaar kal na mujhe
Ek bohat hi ajeeb sapna aaya
Kya?
Yaar mere hath mein bandook thi
Aur koyi mere saamne
Hath upar karke khada tha
Achcha phir

Trigger ke dabte gayi jaan saari
Sharp shooter mere pade tumpe bhaari
Chant banti hai yeh kaali duniya saali
Kaale paison se khareede kaali gaadi
Ab khatam karte hain dalali ki bimari

Hanste hanste ghaav dete hain yeh atyachaari
Bhram mein rehte kehte khud ko brhamchaari
Kaale shabd wale brahmchaari lete meri jaankari
Mera pair jaise angad bohat bhari

Race mein daudte saare mere hi ghode hain
System ne mere aage hath jode hain
Bhed-bhaav karne wale saare gore hain
Desh chalane wale bhi to saare so rahe hai

Mehnat karne wale karte hain hukumat
Chaar paise kya kamaye saale jhool mat
Chaante kitne khaaye bachpan mein bhool mat
Mujhe dekh ke salaam kar ghoor mat

20 murder ek saal mein
Kayoken meri jaat mein
Main darta apne baap se
Main chalta apni raakh pe
Main kehta cheer phaad ke
Jo ukhaadna ukhaad le

Underground main na jaanta
Mujhe koyi na pehchanta
Main shaktiyon mein na manta
Main chele nahi paalta
Main khaata na udhar ke
Main jhoothe vote nahi dalta
Dalta!

Ginte ginte sikke poore huye 100
Ghisad ghisad ke sharp huye mere claw
Gaate gaate aawaz huyi meri raw
Upar badhti zindagi mein na koyi flaw

Yeh gaana nahi hona chahiye flop
Ek din mein na koyi pahunche on top
Lag jaaye inke munh pe full stop
Jab mera bhai kare beat drop

Humari mushkilon ke dhaage sulajhte nahi
Humare sapnon ke baadal kyon baraste nahi
Samjhdaron mein se bhi koyi samjhta nahi
Pichhe se aalu daalne pe sona nikalta nahi

Dekh ke undekha karna kaam inka roz ka
Kya badhiya fayada uthaya hai dono aankhon ka
Janta ka paisa chura ke kab tak tu bhagega
Barbaad hua poora sansar ab to maan ja

Khaal chaahe tum kitni bhi ukhad lo
Chaahe kitnon ko bhi tum udhar do
Bharne wale bharte rahenge saari zindagi
Inki zindagi ko bhi thoda savaar do

Hum se bhi to kabhi thoda sa gyan lo
Meri baaton par bhi tum thoda sa dhyan do
Dhone se nahi jaati hai yeh mann ki gandagi
Pehle apni aadatob ko tum sudhaar lo
Apni aadatein sudhaar lo
Apni aadatein sudhaar lo
Apni aadatein sudhaar lo
Apni aadatein sudhaar lo