Teri Neeli Neeli Aankhon Ke Lyrics - Jaane Anjaane | Shammi Kapoor | Lalita Pawar | Helen | Lata Mangeshkar | Mohammad Rafi
in Movies
Watch the Video
Song Information
Teri neeli neeli aankhon ke song is from Jaane Anjaane (1971) and it is sung by Lata Mangeshkar and Mohammad Rafi.It stars Shammi Kapoor, Lalita Pawar, Helen, Vinod Khanna in leading roles. This song is penned by Hasrat Jaipuri and composed by Shankar, Jaikishan. It is produced by Shakti Samanta. This song was released on 17 May 1971.
Lyrics
Dil pe teer chal gaye, chal gaye
Chal gaye, chal gaye
Teri neeli neeli aankhon ke
Dil pe teer chal gaye, chal gaye
Chal gaye, chal gaye
Yeh dekh ke duniya waalon ke
Dil jal gaye, jal gaye, jal gaye, jal gaye
Teri neeli neeli aankhon ke
Dil pe teer chal gaye, chal gaye
Chal gaye, chal gaye
Soona tha sansar hamara
Toone aan basaya
Oh shehzadi tujhko paakar
Maine sab kuchh paaya
Arre soona tha sansar hamara
Toone aan basaya
Oh shehzadi tujhko paakar
Maine sab kuchh paaya
Mere khoye khoye sapne bhi dilbar
Aaj mil gaye, mil gaye, mil gaye, mil gaye
Teri neeli neeli aankhon ke
Dil pe teer chal gaye, chal gaye
Chal gaye, chal gaye
Maine apne man mandir mein
Saajan tujhko basaya
Tu mere nainon ka kaajal
Palkon beech sajaya
Oh maine apne man mandir mein
Saajan tujhko basaya
Tu mere nainon ka kaajal
Palkon beech sajaya
Teri meethi meethi baaton pe hum to
Haaye lut gaye, lut gaye, lut gaye, lut gaye
Yeh dekh ke duniya waalon ke
Dil jal gaye, jal gaye, jal gaye, jal gaye
Jeevan bhar hum sath rahenge
Karte hain yeh vaada
Tujh par apni jaan bhi denge
Apna hai yeh irada
Arre jeevan bhar hum sath rahenge
Karte hain yeh vaada
Tujh par apni jaan bhi denge
Apna hai yeh irada
Tere bhole bhaale mukhde pe hum to
Haaye mit gaye, mit gaye, mit gaye, mit gaye
Teri neeli neeli aankhon ke
Dil pe teer chal gaye, chal gaye
Chal gaye, chal gaye
Yeh dekh ke duniya waalon ke
Dil jal gaye, jal gaye, jal gaye, jal gaye
Teri neeli neeli aankhon ke
Dil pe teer chal gaye, chal gaye
Chal gaye, chal gaye