तेरी मिट्टी (फीमेल) Teri Mitti (Female) Lyrics - Kesari | Akshay Kumar | Parineeti Chopra
in Movies
Watch the Video
Song Information
तेरी मिट्टी (फीमेल) teri mitti (female) song is from Kesari and it is sung by Parineeti Chopra. Record label of this song is Zee Music Company.It stars Akshay Kumar and Parineeti Chopra in leading roles. This song is penned by Manoj Muntashir and composed by Arko Pravo Mukherjee. It is produced by Karan Johar, Sunir Kheterpal, Akshay Kumar, Apoorva Mehta. This song was released on 21 Mar 2019.
Song: Teri Mitti
Music - Arko
Lyrics - Manoj Muntashir
Vocals - Parineeti Chopra
Programming & Arrangement - Aditya Dev
Lyrics
mmm hmm…
Oh Raanjhanaa ve teri saanson pe
Thoda sa watan ka bhi haq tha
Na dekh mujhe yun mud mud ke
Tera mera saath yahin tak tha
Ye teri zameen tere khoon se hi
Toh sajti sanwarti hai Ranjhe
Tere ishq ki main haqdaar nahi
Teri Heer toh dharti hai Ranjhe
Haaye…
Teri mitti mein mill jaawan
Gul banke main khill jaawan
Itni si hai dil ki aarzoo
Teri nadiyon mein beh jaawan
Teri kheton mein leharawan
Itni si hai dil ki aarzoo
mmm mmm…
Aye meri zameen afsos nahi
Jo tere liye sau dard sahe
Mehfooz rahe teri aan sada
Chaahe jaan meri yeh rahe na rahe
Aye meri zameen mehboob meri
Meri nass nass mein tera ishq bahe
Pheeka na pade kabhi rang tera
Jismon se nikal ke khoon kahe
Haaye…
Teri mitti mein…
Gul banke main…
Itni si hai dil ki aarzoo
Haaye…
Teri nadiyon mein beh jawaan
Teri phaslon mein lehrawan
Itni si hai dil ki aarzoo.