Tere Bin Saawan Kaise Beeta Lyrics - Mala Sinha | Dharmendra | Anoop Kumar | Lata Mangeshkar

1967

Lyrics

Tere bin sawan kaise bita
Tere bin sawan kaise bita
Tu kya jane balama
Tere bin sawan kaise bita
Tere bin sawan kaise bita
Tu kya jane balama
Tere bin sawan

Gaanv me jhule jab lahraye
Geet milan sab ne gaye
Sakhiyo ne pucha bol sakhi ri
Tere sajan kyo na aaye
Fir sakhiyo ne kya kya pucha
Tu kya jane balama
Tere bin sawan kaise bita
Tu kya jane balama
Tere bin sawan

Phul chaman me jab muskaye
Pal pal bita aas lagaye
Koyaliya ne raag to chheda
Payaliya ne geet na gaye
Pag pag chhelake nain gagriya
Tu kya jane balama
Tere bin sawan kaise bita
Tu kya jane balama
Tere bin sawan

Lambi raate ghor andhera
Mujh sang jaga deepak mera
Hum dono ne bhor bhare tak
Ro ro dekha rasta tera
Kya hota hai dukh birha ka
Tu kya jane balama
Tere bin sawan kaise bita
Tere bin sawan kaise bita
Tu kya jane balama
Tere bin sawan.