Tere bin dhadkan (title) song is from and it is sung by .It stars and in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Aman Devgan. This song was released on 14 Jan 2016.
Tere bin dhadkan sooni hai sanam
Tere bin hasrat tadpi thi sanam


Tere bin dhadkan sooni hai sanam
Tere bin hasrat tadpi thi sanam
Tere bin saanse chal rahi hai sanam
Lekin zinda to nahi hai hum
Tere bin dhadkan sooni hai sanam
Tere bin hasrat tadpi thi sanam...


Teri zulfo ke saaye mein rahna tha mujhko
Teri ibaadat tera sajda karna tha mujhko
Mere sanam tujhme
Khudya dikhta tha mujhko
Jaane kya who lamha tha
Jo paa na saka tujhko
Kitna mujhe tumse
Pyar kar na sakoon main bayaan
Rag rag me tu hi basa
Kaise bhoola doon main yaar
Yaadon ke sab diye tujh se roshan rahe
Mere jism o jaan me tu hi rahe
Yaadon ke sab diye tujh se roshan rahe
Mere jism o jaan me tu hi rahe...


Feeki subhe feeki shaame ojhal hai raate
Meri aahein meri saanse mujh ko hi baante
Tere sang bitaaye lamhe yaad jab aaye
Teri kasam who lamhe behad sataye
Tere siva mere yaar koi nahi hai mera
Nazrein ye meri sada
Dhoonde hai tera nishan
Teri yaad me ab mere ashq bahe
Harpal tadpoon na sukoon rahe
Teri yaad me ab mere ashq bahe
Harpal tadpoon na sukoon rahe...


Main sagar hoon tu dariya hai
Pyase hum phir bhi
Tujhko mujhme mil jaana
Tha kyoon na hua mumkin
Main sagar hoon tu dariya hai
Pyase hum phir bhi
Tujhko mujhme mil jaana
Tha kyoon na hua mumkin
Tere bina mere yaar
Rahta hoon main bekaraar
Jaaun main ab to kaha koi mera na raha
Hai yakeen mujhe tu milegi kabhi
Honton pe hasi to khilegi kabhi
Hai yakeen mujhe tu milegi kabhi
Honton pe hasi to khilegi kabhi..