Tandav song is from and it is sung by and . This song was released on 04 Dec 2015.
Lalaat laal lambika
Prachand deh vajra hai
Rann mein jaise yam koyi
Sanghar hetu vyagra hai
Aaroodh astra hai adamya
Jap padap ki sadhana
Lahu luhan lakshya bhi
Kar raha sarahna
Kitne kesh kaat kar
Kataar kar gayi kehar
Dekh veer veerta
Man ki daudti lehar
Dekh veer veerata
Man ki daudti lehar

Daayein kabhi hai damini
Vaam kar mein naal hai
Shikhar sharmsar se
Vaksh yeh vishal hai
Gaj garajte garun kapi
Megh si lalkar hai
Rakta ranjit ran rache
Aisa rachnakar hai
Maran yoon hai veer gati
Vardaan jaise koyi
Aan pe amritva ka
Armaan jaise koyi
Aan pe amritva ka
Armaan jaise koyi

Singh sa paridrashya hai
Yen singhasan saj raha
Bhuj pralam prabhat sa
Tamay ko thaame janch raha
Chaal chal ke charmaraaye
Charm chalit paduka
Drishti sangthomahi
Bhaan mukh pe ruka
Hai bhala jo kaun woh
Aake inke bair le
Kar lein yeh nishchai agar
Aakash apni khair le
Kar lein yeh nishchai agar
Aakash apni khair le