Talash khud ki (title) song is from and it is sung by and .It stars and in leading roles. This song is penned by and composed by . This song was released on 24 Dec 2014.
Kabhi woh nahi hua socha thaa jo
Haan ye wohi ho gaya
Socha tha kabhi na jo
Kabhi woh nahi hua socha thaa jo
Haan ye wohi ho gaya
Socha tha kabhi na  jo


Chalti rahi badhti rahi
Manzil se par doori nahi
Kyaa mil gaya kyaa kho gaya
Ehsaas bhi mujh ko nahi
Mujh ko jaisa laga maine waisa kiya
Woh galat thaa yaa thaa woh sahin
Faisla thaa woh mera jo maine kiya
Aur karungi main to wahin


Yaadon mein tera basera
Andheron mein tu thaa sawera
Par jab mushkilo ne thaa ghera
Kyun tu bhi na ho paaya mera


Aaj chahun jo bhi main
Kyun na main waisa hi karun
Apne hi dam pe ab to main badhti rahun
Thi dooriyaan nazdikiyaan
Majbooriyaan khamoshiyaan
Thi dooriyaan nazdikiyaan
Majbooriyaan khamoshiyaan
Mujh ko jaisa laga maine waisa kiya
Woh galat thaa yaa thaa woh sahin
Faisla thaa woh mera jo maine kiya
Aur karungi main to wohi


Mere dil mein umange nayi
Manzile hai kahin
Karne hai tay woh faasle
Jinse doori rahin
Hai aasmaan yun to kain
Sakoon paa zid hai meri
Jo socha thaa woh kar liya
Jo thaa nahi woh paa liya
Hai rab mere tera shukriya
Jo maanga thaa woh de diya
Mujh ko jaisa laga maine waisa kiya
Woh galat thaa yaa thaa woh sahin
Faisla thaa woh mera jo maine kiya
Aur karungi main to wahin.

More songs of Umesh Giri

More songs of Anuja Sahai