Subah Hoti Hai To Kahte Hai Lyrics - Faqeer Badshah | Parveen Babi | Omi
in Movies
Watch the Video
Song Information
Subah hoti hai to kahte hai song is from Faqeer Badshah (1987) and it is sung by Parveen Babi, Omi, Mehboob Chand and Danny Denzongpa.It stars Danny Denzongpa, Roma Malik and Bindu in leading roles. This song is penned by Gauhar Kanpuri and composed by Sonik Omi. It is produced by Sushil Kumar. This song was released on 01 Jan 2018.
Lyrics
subah hoti hai to kahte hai ki kal raat ki tauba
sham hoti hai to kahte hai kis baat ki tauba
tauba tauba tauba
tauba tauba tauba, tauba tauba tauba
tauba tauba tauba, tauba tauba tauba
o sharabi chhod de peena fod de bottel, fod de meena
o sharabi chhod de peena fod de bottel, fod de meena
kahta hai shabab
jisne pee li sharab uska khana kharab
jisne pee li sharab uska khana kharab, o sharabi
bottel me bhari aag naye gul khilati hai
bottel me bhari aag naye gul khilati hai
ijjat utaar leti hai nanga nachati hai
chakkar me agar sharab ke tu jinda rahega
to khud hi apne aap se sharminda rahega
nadan agar tune meri baat na mani
ek din tujhi pe royegi ye teri jawani, kyu maut ko
kyu maut ko hontho se lagata hai meri ja
kyu jaan ke tu jaan ganwata hai meri ja
ha ganwata hai meri ja, ho ganwata hai meri jaan
jisne pee li sharab uska khana kharab, kharab
jisne pee li sharab uska khana kharab, o sharabi
kis baat ka hungama hai thodi si humne pee hai
saka to nahi daala chori to nahi ki hai
jis chiz ne duniya me bada kaam kiya hai
duniya ne usi chiz ko badnaam kiya hai
insaa ki jawani ko jaga de ye wo shay hai
murdo ko phir se jinda bana de ye wo shay hai
iski to zamane me hai rangi kahani
ye sham ki shahjadi ye hi raat ki rani
apni yahi, apni yahi hai jaan yahi zindagi huyi
chhuthi nahi hai munh se ye tafir lagi huyi
ha ha tafir lagi huyi, ye hi tafir lagi huyi
jisne chhodi sharab uska khana kharab
hoye jisne chhodi sharab uska khana kharab
pee sharabi p jara jam ke pee ha
maikharo ne suraj ko nikalte nahi dekha
maikharo ne suraj ko nikalte nahi dekha
phulo ki hansi kaliyo ko khilte nahi dekha
pee le to nahi rahta inhe ghar ka pata yaad
na apni khud yaad inhe aur na khuda yaad
in logo ka dophar me hota hai savera
chehre pe hai fitkaar na hust ka hai dera, beimano ka
beimano ka imaan hai bas peena peelana
inke liye dojakh ne na jannat me thikana
ha na jannat me thikana, ho na jannat me thikana
ari o chhokariyo galib kahin hai
zahid sharab peene de maszid me baithakr
ya u jagah bata jaha par khuda na ho
humar matlab bhagwan
e kaun si
e kaun si mehfil hai zamane se nirali
kawali ke parde me jaha chalti hai gaali, uljhaya hai
uljhaya hai kis vaaste launde ko takht pe
hum dost the jo daud pade thik wakht pe, ae chhokri
ae chhokri humka na dikha apne ye tevar
lohe ka jigar rakhte hai hum taxi driver, hum kaahe ko
hum kaahe ko peete hai tumka e batayi de
funki? me ek hasina dui dikhayi de
dui tho dui dikhayi de, ari ha dui dikhayi de
ambar ki juba me inhe sab kahte hai bevda
badbu na jaye sent maare ya mare kewda
lahrake dagmagake yu chalte hai sharabi
jaise ki bailgadi me ho koi kharabi
jana hai idhar aur udhar jate hai bevde
chalte huye patri se utar jate hai bevde
do aadmi inko ghar tak pahunchane ko jaye
warna gattar ka pani peeke dubki lagaye
besharmo ko ijjat ka bhi ehsaas nahi hai
ijjat are ijjat yo inke pass nahi hai
hum jaante hai sharmo haya kaun chiz hai
hum jaante hai sharmo haya kaun chiz hai
ijjat ki humko tumse jyada tamiz hai
do ghunt chuha peele to billi ko de gaali
chuhe ki isi baat pe sab dete hai taali
gidad jo peele sher se takrane ko jaye
gidad ma chhupe sher ko e chiz jagaye
hum log ise kahte hai langur ke beti
ari lagur na hi e to hai, ari ha e to hai
ari ha e to hai, angur ki beti
ye akal ke andhe nahi sudhrenge umar bhar
gham ho khushi ho peete hai bottel nichod kar
koi mauka ho na ho
peena peelana chahiye
jinda rahne ke liye kuch to bahana chahiye samjhi
ho aashiqi najro se dekho
hai najare aur bhi jinda rahne ke liye
ab hai sahare aur bhi
tod de paimana bottel aur meena fod de
agar teri najro se mil jaye
to peena chhod de, sacchi ha ji
jisne pee li sharab uska khana kharab
jisne pee li sharab uska khana kharab
o jisne pee li sharab uska khana kharab