Sonu nigam – tu hi tu satrangi re song is from and it is sung by and .It stars and in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Mani Ratnam, Ram Gopal Varma. This song was released on 08 Jul 1998.
Tu hi tu, tu hi tu, satrangi re
Tu hi tu, tu hi tu, manrangi re
Tu hi tu, tu hi tu, satrangi re
Tu hi tu, tu hi tu, manrangi re
Dil ka saaya humsaaya
Satrangi re, manrangi re
Koi noor hai tu, Kyun door hai tu
Jab paas hai tu Ehsaas hai tu
Koi khwaab hai ya parchhayi hai, satrangi re…
Satrangi re…..
Is baar bata, Muhzor hawa
Thehregi kahaan?
Ishq par zor nahin
Hai yeh woh aatish Ghalib
Jo lagaye na lage
Aur bujhaye na bane
Jo lagaye na lage
Aur bujhaye na bane
Ishq par zor nahin
Hai yeh woh aatish Ghalib
Aankhon ne kuchh aise chhuaa
Halka halka uns huaa
Halka halka uns huaa
Dil ko mehsoos huaa
Tu hi tu, tu hi tu, jeene ki saari khushbu
Tu hi tu, tu hi tu, aarzoo aarzoo
Tere jism ki aanch ko chhoote hi
Mere saans sulagne lagte hain
Mujhe ishq dilaase deta hai
Mere dard bilakhne lagte hain
Tu hi tu, tu hi tu jeene ki saari khushbu
Tu hi tu, tu hi tu, aarzoo aarzoo
Chhooti hai mujhe sargoshi se
Aankhon mein ghuli khamoshi se
Main farsh pe sajde karta hoon
Kuchh hosh mein kuchh behoshi se
Dil ka saaya humsaaya
Satrangi re, manrangi re
Koi noor hai tu, kyun door hai tu
Jab paas hai tu ehsaas hai tu
Koi khwaab hai ya parchhayi hai, satrangi re…
Teri raahon mein uljha-uljha hun
Teri baahon mein uljha-uljha
Suljhane de hosh mujhe
Teri chaahon mein uljha hun (x2)
Mera jeena junoon
Mera marna junoon
Ab iske siva nahin koi sukoon
Mera jeena junoon
Mera marna junoon
Ab iske siva nahin koi sukoon
Mera jeena junoon
Mera marna junoon
Tu hi tu satrangi re, tu hi tu satrangi re…
Ishq par zor nahin
Hai yeh woh aatish Ghalib
Jo lagaye na lage
Aur bujhaye na bane
Jo lagaye na lage
Aur bujhaye na bane
Ishq par zor nahin
Hai yeh woh aatish Ghalib
Mujhe maut ki god mein sone de
Mujhe maut ki god mein sone de
Mujhe maut ki god mein sone de
Teri rooh mein jism dubone de
Teri rooh mein jism dubone de
Satrangi re, manrangi re…
Satrangi re, manrangi re…
uns: infatuation, aarzoo: desire,