Shekh Ji Lyrics - Jagjit Singh

1994

Lyrics

Sheikh-ji-thodi si pee kar aaiye
Sheikh-ji-thodi si pee kar aaiye
Mai hai kya shai phir hamein batlaieye
Sheikh-ji-thodi si pee kar aaiye

Aap kyon hain sari duniya se juda
Aap kyon hain sari duniya se juda
Aap bhi dushman merey ban jaaieye
Sheikh-ji-thodi si pee kar aaiye

Kya hai achcha kya bura banda nawaz
Kya hai achcha kya bura banda nawaz
Aap samjhen to hamein samjhaieye
Sheikh-ji-thodi si pee kar aaiye

Jane dijey aqal baatein janab
Jane dijey aqal baatein janab
Dil ki suniye aur peete jaieye
Sheikh-ji-thodi si pee kar aaiye.