Sheeshe ka samundar Paani ki deewarein
Sheeshe ka samundar Pani ki deewaren Maaya hai bharam hai Mohabbat ki duniya Is duniya mein jo bhi gaya Woh to gaya
Ho… sheeshe ka samander Paani ki deewarein Maya hai bharam hai Mohabbat ki dunia Is duniya me jo bhi gaya Wo to gaya
Ho… shishe ka samundar Pani ki deewarein
Barf ki reton pe Sharaaron ka thikana Garam sehraon mein Narmiyon ka fasana Yaadon ka aaina Uthta hai jahan Sach ki parchhaiyan Har jagah aati hai nazar
Sone ke hain baadal Paththaron ki barish Maaya hai bharam hai Mohabbat ki duniya Is duniya me jo bhi gaya Woh to gaya
Ho… sheeshe ka samundar Paani ki deewarein
Dil ki is duniya mein Sarhaden hoti nahi Dard bhari aankhon mein Raahatein soti nahi Jitne ehsas hain Adhbujhi pyaas hai Zindagi ka falsafa Pyaar ki panaahon mein chupa Dhoop ki hawayein Kaaton ke bagheeche Maya hai bharam hai Mohabbat ki duniya Iss duniya mein jo bhi gaya Woh to gaya
Ho… sheeshe ka samundar Paani ki deewarein