Sapno Ki Dor Bandhi Palko Ka Palna Lyrics - Asha Bhosle
in Movies
Watch the Video
Song Information
Sapno ki dor bandhi palko ka palna song is from Ghar Sansar (1958) and it is sung by Asha Bhosle.It stars Balraj Sahni, Nargis and Rajendra Kumar in leading roles. This song is penned by S H Bihari and composed by Ravi Shankar Sharma (Ravi). This song was released on 01 Jan 2018.
Lyrics
sapno ki dor bandhi palko ka palna
soja meri rani mera kahna na talna
sapno ki dor bandhi palko ka palna
soja meri rani mera kahna na talna
pario ke desh tohe nindiya pukare
dekh rahe rah teri chand sitare
dekh rahe rah teri chand sitare
jhum rahi ankhiyo me nindiya diwani jhum rahi
jhum rahi ankhiyo me nindiya diwani
mithi mithi bato ka jadu na talna
soja meri rani mera kahna na talna
sapno ki dor bandhi palko ka palna
soja meri rani mera kahna na talna
jaldi jo soye or jaldi jo jage
jaldi jo soye or jaldi jo jage
jiwan ki daud me wo sabse rahe aage
jiwan ki daud me wo sabse rahe aage
pyara hai bacha wahi kahna jo mane pyara hai
pyara hai bacha wahi kahna jo mane
jug jug jiye jhule sone ka palna
soja meri rani mera kahna na talna
sapno ki dor bandhi palko ka palna
soja meri rani mera kahna na talna