Sanwariya Aaye Hain Lyrics - Ulhas | Bela Bose | Azra | Asha Bhosle

1970

Lyrics

Sawariya aaye hai badarwa chaye hai
Sawariya aaye hai badarwa chaye hai
Hone lage bechain ho phir se nain
Ho phir se nain
Sawariya aaye hai badarwa chaye hai
Sawariya aaye hai

Phool khile hai armano ke
Man ki bagiya jhum rahi hai
Aaj hamari gaw ki dharti
Paw kisi ke chum rahi hai
Aaj khushi se chamak uthe hai
Bujhe bujhe se nain
Sawariya aaye hai badarwa chaye hai
Sawariya aaye hai

Suraj jaisa mukhda leke
Parwat jaisa sine tane
Wo aaye hai jinko manwa
Janam janama ka sathi mane
Unki lagan se unka man hai
Jeevan ka sukh chayan
Sawariya aaye hai badarwa chaye hai
Sawariya aaye hai badarwa chaye hai
Hone lage bechain ho phir se nain
Ho phir se nain
Sawariya aaye hai badarwa chaye hai
Sawariya aaye hai.