Bollywood Songs
Album Songs
Punjabi Songs
Bhojpuri Songs
Movies
Bollywood Movies
Bhojpuri Movies
Movies of 2010s
Movies of 2000s
Movies of 1990s
Movies of 1980s
Movies of 1970s
Movies of 1960s
Movies of 1950s
Movies of 1940s
Upcoming Movies
Other Songs
Bengali Songs
English Songs
Haryanvi Songs
Kannada Songs
Korean Songs
Lyrics Coming Soon
Spanish Songs
Tamil Songs
Telugu Songs
Actors
All Actors
Top Actors
Top Actresses
Shah Rukh Khan
Amitabh Bachchan
Salman Khan
Akshay Kumar
Aamir Khan
Raja Pandit
Harish Gwala
Home
Album Songs
साई चालीसा Sai Chalisa
साई चालीसा Sai Chalisa Lyrics - Raja Pandit | Harish Gwala
साई चालीसा sai chalisa song is sung by
Raja Pandit
and
Harish Gwala
. Record label of this song is T-Series Bhakti Sagar. This song is penned by
Das Ganu Maharaj
and composed by
Raja Pandit
. This song was released on 30 Jun 2020.
Album Name: Shri Sai Chalisa
Singer: Raja Pandit, Harish Gwala
Music Director: Raja Pandit
Lyricist: DASGANU
Music Label: T-Series
Anant koti brahmand nayak rajadhirajYogiraj parbrahm shree sachchidanandaSadguru sainath maharaj ki jaiPehle sai ke charano mein apna shish namau meinPehle sai ke charano mein apna shish namau meinKaise shirdi sai aaye sara haal sunau meinKaun he mata pita kaun he yah na kisi ne bhi janaKaha janam sai ne dhara prashn paheli raha banaKoi kahe ayodhya ke ye ramchandra bhagavan haiKoi kehta saibaba pavan-putra hanuman haiPavan-putra hanuman haiKoi kehta mangal murti shri gajanan hai saiShri gajanan hai sai..shri gajanan hai sai..Koi kehta gokul-mohan devaki nandan hai saiDevaki nandan hai saiShankar samjh bhagat kayi to baba ko bhajte rehteBaba ko bhajte rehte..baba ko bhajte rehte..Koi keh avatar datt ka puja sai ki kartePuja sai ki karteKuch bhi mano unko tum par sai hai sache bhagvanBade dayalu denbandhu kitano ko diya hai jivan daanKitano ko diya hai jivan daanKai varsh pehle ki ghatna tumhe sunaunga mein baatKisi bhagyashali ki shirdi mein aai thi baraatAaya saath usi ke tha balak ek bahut sundarAaya aakar wahi bas gaya paavan shirdi kiya nagarPaavan shirdi kiya nagarKai dino tak raha bhatkata bhiksha maangi usne dar-darAur dikhai aisi leela jag me jo ho gayi amarJag me jo ho gayi amarJaise-jaise umar badhi badhati hi vaise gayi shaanGhar-ghar hone laga nagar me sai baba ka gungaanSai baba ka gungaanDig-digant me laga gunjane phir to sai ji ka naamDeen-dukhi ki rakhsha karna yahi raha baba ka kaamYahi raha baba ka kaamBaba ke charno me jakar jo kahta mein hu nirdhanDaya usi par hoti unki khul jate dukh ke bandhanKhul jate dukh ke bandhanKabhi kisi ne maangi bhiksha do baba mujh ko santaanEvam astu kehakar sai dete the usko vardaanDete the usko vardaanSvayam dukhi baba ho jaate deen-dukhijan ka lakh haalAntahkaran shri sai ka sagar jaisa raha vishalSagar jaisa raha vishalBhakt ek madraasi aaya ghar ka bahut bada dhanvanMaal khajana behad uska keval nahi rahi santaanLaga manane sai naath ko baba mujh par daya karoJhanjha se jhankrit naiya ko tum hi mera paar karoKuldeepak ke bina andhera chhaya hua hai ghar mein mereIs liye aaya hun baba ho kar sarnagat toreKuldeepak ke abhaav mein vyarth hai daulat ki maayaAaj bhikhari ban kar baba sharan tumhari main aayaDe do mujhko putar daan mein rini rahunga jivan bharAur kisi ka aas na mujhko sirf bharosa hai tum parAnunae-vinae bahut ki usne charno mein dharke shishTab parsan hokar baba ne diya bhagat ko yah aashish‘alla bhala karega tera’ putra janam ho tere gharKrapa rahegi tum par meri aur tere us baalak parAur tere us baalak parAb tak nahi kisi ne paaya sai ki kripa ka paarPutra ratan de madrasi ko dhany kiya uska sansaarTan-man se jo bhaje usi ka jag mein hota hai uddharSach ko aanch nahi hai koi sada jhooth ki hoti haarMein hu sada sahaare uske sada rahunga usaka daasSai jaisa prabhu mila hai itni hi kam hai kya aasMera bhi din tha ek aisa milti nahi mujhe bhi rotiTan par kapda dur raha tha shesh rahi nanhi si langotiSarita sammukh hone par bhi mein pyaasa ka pyaasa thaDurdin mera mere upar daavagni barasata thaDharti ke atirikt jagat mein mera kuch avalamb na thaBana bhikhaari main duniya mein dar-dar thokar khata thaAise me ek mitar mila jo param bhagat sai ka thaJanjalo se mukt magar is jagati mein mujh jaisa thaBaba ke darshan ki khaatir mil kar dono ne kiya vichaarSai jaise dayamurti ke darshan ko ho gaye taiyarPaavan shirdi nagari mein jakar dekhi matvali murtiDhane janam ho gaya ki hamne jab dekhi sai ki suratJab se kiye hai darshan hamne dukh saara kafur ho gayaSankat sare mite aur vipadao ka ant ho gayaMaan aur samman mila bhiksha mein hamko baba sePratibimbit ho uthe jagat mein hum sai ki abhe seBaba ne sammaan diya hai maan diya is jivan meinIsaka hi sambal le main hansata jaaunga jivan meinHansata jaaunga jivan meinSai ki leela ka mere man par aisa asar huaLagta jagati ke kan-kan mein jaise ho woh bhara huaLagta jagati ke kan-kan mein jaise ho woh bhara huaKashiram baba ka bhagat is shirdi me rehata thaMein sai ka sai mera vah duniya se kahata thaSikar svayam vastra bechta gram nagar baajaro meinJhankrit usaki hrid tantri thi sai ki jhankaro seStabdh nisha thi the soye rajani aanchal mein chand –sitareNahi sujhata raha hath ko haath timir ke mareVastra bechkar laut raha tha hay haat se kashiVichitra bada sanyog ki us din aata tha woh ekaakiGher raah me khade ho gaye use kutil anyaayiMaro kato luto iski hi dhvani padi sunaiLoot piit kar use vahan se kutil ho gaye champatAaghato se marmahat ho usne di sangya akhoBahut der tak pada reha vah vahi usi haalat meinJaane kab kuch hosh ho utha usko kisi palak meinAnjane hi uske muh se nikal pada tha saiJiski pratidhvani shirdi me baba ko padi sunaaiKshubdh utha ho manas unka baba gaye vikal hoLagta jaise ghatna sari ghati unhi ke sammukh hoUnmadi se idhar-udhar tab baba lage bhatakaneSammukh chije jo bhi aai unko lage patkaneAur dhadhkate angaro mein baba ne kar dalaHuye sashankit sabhi vaha lakh tandav nritya niralaSamjh gye sab log ki koi bhagat pada sankat mein
Kshubhit khade the sabhi wahan par pade huye vismae meUse bachane ke hi khatir baba aaj vikal haiUski hi piida se piidit unka antahsthal haiItne mein hi vidhi ne apni vichitrata dikhlaiDekhkh kar jisko janta ki shradha sarita lahraiShradha sarita lahraiLekar sangyahin bhagat ko gadi ek wahan aaiSamukh apne dekh bhagat ko sai ki aankhe bhar aaiShant dhir gambhir sindhu sa baba ka antahsthalAaj na jane kyun reh-reh kar ho jata tha chanchalAaj daya ki murti svayam tha bana hua upachariAur bhagat ke liye aaj tha dev bana pratihariAaj bhakt ki visham pariksha me safal hua tha kashiUske hi darshan ke khatir the umade nagar-nivasiJab bhi aur jaha bhi koi bhagat pade sankat meinUski rakhsha karne baba jate hai palbhar meinYug-yug ka hai sathi yah nahi koi nai kahaniAapatgrast bhagat jab hota aate khud antaryamiBhed-bhav se pare pujaari manavata ke the saiJitne pyare hindu-muslim utne hi the sikh isaiBhed-bhav mandir-masjid ka tod-phod baba ne dalaRam-rahim sabhi unke the krishna-karim-allatalaGhante ki pratidvani se gunja masjid ka konaa-konaaMile paraspar hindu-muslim pyaar badha din-dunaChamatkar tha kitna sundar parichae is kaya ne diAur neem kadvahat mein bhi mithas baba ne bhar diSabko sneh diya sai ne sabko santul pyar diyaJo kuch jisne bhi chaha baba ne unko wahi diyaAise sneh shil bhajan ka naam sada jo japa kareParvat jaisa dukh na kyu ho palbhar mein wah dur tareSai jaisa data hamne are nahi dekha koiJiske keval darshan se hi saari vipada dur ho gayiTan mein sai man mein sai sai-sai bhaja karoApne tan ki sudhi-budhi khokar sudhi uski tum kiya karoJab tu apni sudhi taj kar baba ki sudhi kiya karegaAur raat-din baba baba hi tu rata karegaBaba hi tu rata karega..baba hi tu rata karega..To baba ko are vivash ho sudhi teri leni hi hogiTeri har ichchha baba ko puri hi karni hogiJangal-jangal bhatak na pagal aur dhundhane babakoEk jagah keval shirdi mein tu payega baba koDhane jagat mein prani hai wah jisne baba ko payaDukh mein sukh mein parhar aath ho sai ka hi gun gayaGire sankato ke parvat chahe bijali hi toot padeSai ka le naam sada tum sammukh sab ke raho adeIs budhe ki sun karamat tum ho jaoge hairanDang rah gaye sunkar jisko jane kitane chatur sujanEk baar shirdi mein saadhu dhongi tha koi aayaBholi-bhali nagar-nivasi janta ko tha bharmayaJadi-butiya unhe dikhakar karne laga wahan bhashanKahne laga suno shrotagan ghar mera hai vrindavanAushadhi mere paas ek hai aur jab isme shaktiIske sevan karne se hi ho jaati dukh se muktiAgar mukt hona chaho tum sankat se bimari seTo hai mera namr nivedan har nar se har nari seLo kharid tum isko iski sevan vidhiyaa hai nyariYadyapi tuchch vastu hai yah gun uske hai atishay bhariJo hai santati heen yaha yadi meri aushadhi ko khayePutar-ratn ho prapt are vah muh manga phal payeAushadhi meri jo ann kharide jivan bhar pachtayegaMujh jaisa prani shayad hi are yaha aa payegaDuniya do din ka mela hai mauj shauk tum bhi kar loGar isse milta hai sab kuch tum bhi isko leloHairani badhati janta ki lakh iski karastaniPramudit vah bhi man hi man tha lakh logo ki naadaniKhabar sunane baba ko yah gaya daudkar sevak ekSunkar bhrikuti tani aur vismaran ho gaya sabhi-vivekHukam diya sevak ko satvar pakad dushat ko laoYa shirdi ki sima se hi kapti ko dur bhagavoMere rahte bholi-bhali shirdi ki janta koKaun nich aisa jo sahas karta hai chalane koPal bhar mein hi aise dhongi kapati niich lutere koMahanash ke mahagart mein pahuncha du jivan bhar koTanik mila aabhas madari krur kutil anyayi koKaal nachta hai ab sir par gussa aaya sai koPalbhar mein sab khel band kar bhaga sir par rakhkar pairSochta tha man hi man bhagvan nahi hai kya ab khairSach hai sai jaisa daani mil na sakega jag meinAnsh ish ka saibaba unhe na kuchh bhi mushkil jag meinSneh shil saujany aadi ka aabhushan dharan karBadhata is duniya mein jo bhi manav-seva ke path parWahi jit leta hai jagati ke jan-jan ka antahsthalUski ek udasi hi jag ko kar deti hai vihvalJab-jab jag mein bhaar paap ka badh badh hi jata haiUse mitane ke hi khaatir avatari ho aata haiPaap aur anyae sabhi kuch is jagti ka har keDur bhaga deta duniya ke danav ko kshan bhar meinSneh sudha ki dhaar barsane lagati hai is duniya meinGale paraspar milne lagte hai jan-jan aapas meinAise hi avatari sai mrityulok mein aakarSamta ka yah paath padhaaya sabko apna aap mitakarNaam dwarka masjid ka rakkha shirdi mein sai neDaap taap santaap mitaya jo kuchh aaya sai neSada yaad mein mast ram ki baithe rehte the saiPreher aath hi ram naam ka bhajate rehate the saiRukhi sukhi taaji-baasi chahe ya hove pakvaanSada pyaar ke bhukhe sai ki khatir the sabhi samanSneh aur shradha se apne jan jo kuch de jate theBade chaav se us bhojan ko baba paavan karte theKabhi-kabhi man bahlane ko baba bag mein jate thePramudit man nirakh prakriti chhata ko ve hote theRang-birange pushap bag ke mand-mand hil-dul karakeBihad viraane man mein bhi sneh salil bhar jaate theAisi sumadhur bela mein bhi dukh aapaat vipada ke mareApne man ki vyatha sunaane jan rahte baba ko ghereSunakar jinki karun katha ko nayan kamal bhar aate theDe vibhuti har vyatha shanti unke ur mein bhar dete theJane kya adbhut shakati us vibhuti mein hoti thiJo dhaaran karte mastak par dukh saara har leti thiDhane manuj ve saakshaat darshan jo baba sai ke paayeDhany kamal kar unke jinse charan-kamal ve parsayeKash nirbhay tumko bhi sakshaat sai mil jaataBarso se ujada chaman apna phir se aaj khil jataGar pakdata mein charan shri ke nahi chhodata umrabharGar pakdata mein charan shri ke nahi chhodata umrabharMana leta mein jarur unko gar ruthte sai mujh parGar ruthte sai mujh par..gar ruthte sai mujh par..Bolo shree sadguru sainath maharaj ki jai.
View All
More songs
of Raja Pandit
Listen Listen
Preet Kaise Karu
Search
LyricsTashan
View All
Latest
Movie Songs
View All
Latest
Punjabi Songs
View All
Top
Singers
View All
Great
Movies
View All
Top
Actors
External
Links
Open in app
X