Sab Mein Shamil Ho Magar Lyrics - Mumtaz | Mala Sinha | Ashok Kumar | Mohammad Rafi

1965

Lyrics

Sabse juda lagti ho
Sab mein shamil ho magar
Sabse juda lagti ho
Sirf humse nahi khud se bhi khafa lagti ho
Sab mein shamil ho magar
Aankh uthti hai na jhukti hai kisi ki khatir
Aankh uthti hai na jhukti hai kisi ki khatir
Saans chadhti hai na rukti hai kisi ki khatir
Jo kisi dar pe na thehre woh hawa lagti ho
Sirf humse nahi khud se bhi khafa lagti ho
Sab mein shamil ho magar
Zulf lehraye to anchal mein chhupa leti ho
Zulf lehraye to anchal mein chhupa leti ho
Honth tharraye to daanton mein daba leti ho
Jo kabhi khul ke na barse woh ghata lagti ho
Sirf humse nahi khud se bhi khafa lagti ho
Sab mein shamil ho magar
Jaagi-jaagi nazar aati ho na soyi-soyi
Jaagi-jaagi nazar aati ho na soyi-soyi
Tum jo ho apne khayalat mein khoyi-khoyi
Kisi mayoos musavvwir ki dua lagti ho
Sirf humse nahi khud se bhi khafa lagti ho
Sab mein shamil ho magar