रोज़ाना rozaana song is sung by . Record label of this song is JalRaj. This song is written by . This song was released on 12 Apr 2022.
Gustakh dil
Dheema pada hain aakhir
Kya sochta kya chahta hai
Zahir kar de zara
Ae dil yun naa der kar

Naadan dil
Labb pe pade hain taale
Kaise kahe kitna isse sambhale
Hum jee rahe
Hai bas tumhe dekh kar

Hoke yun hi besabaar
Tanhaiyon mein raat bhar

Rozaana
Dil ki deewaron pe
Tere naam ke aage
Mera naam likhta hoon

Rozaana
Kyun khamakha hi main
Takiye taale teri
Tasveer rakhta hoon

Bheege pade
Hain khwahishon ke baadal
Besudh khade
Manmaaniyo mein aakar
Roke hue
Har lafz ko honth par

Lamhe gine
Ab ungliyon pe chhupkar
Dhadkan meri
Bhi puchti hain aksar
Gum hai kahan
Ae dil zara shor kar

Hoke yoon hi bekhabar
Khamoshiyon mein raat bhar

Rozaana
Dil ki deewaron pe
Tere naam ke aage
Mera naam likhta hoon

Rozaana
Kyun khamakha hi main
Takiye taale teri
Tasveer rakhta hoon

Rozaana
Jab aaina dekhun
Tere liye hi to
Thoda sawarta hoon

Rozaana
Yun rubaroo hoke
Tere khayalon se
Har pal guzarta hoon

Hoke yun hi befikaar
Bechainiyon mein raat bhar

Rozaana
Dil ki deewaron pe
Tere naam ke aage
Mera naam likhta hoon

Rozaana
Kyun khamakha hi main
Takiye taale teri
Tasveer rakhta hoon

Rozaana
Jab aaina dekhun
Tere liye hi to
Thoda sawarta hoon

Rozaana
Yun rubaroo hoke
Tere khayaalon se
Har pal guzarta hoon.