Revolver Rani Title Song Lyrics - Revolver Rani | Vir Das | Kangna Ranaut | Piyush Mishra | Usha Uthup
in Movies
Watch the Video
Song Information
Revolver rani title song song is from Revolver Rani (2014) and it is sung by Usha Uthup. Record label of this song is TSeries.It stars Vir Das, Kangna Ranaut, Piyush Mishra and Zeishan Quadri in leading roles. This song is penned by Here is the title song of the Kangana Ranaut starrer Revolver Rani. This track is is sung by Usha Uthup and composed by Sanjeev Srivastava. and composed by Sanjeev Srivastava. It is produced by Raju Chadha, Crouching Tiger Motion Pictures, Nitin Tej Ahuja, Rahul Mittra. This song was released on 25 Apr 2014.
SONG: REVOLVER RANI
SINGER: USHA UTHUP
MUSIC DIRECTOR: SANJEEV SRIVASTAVA
LYRICS: PUNEET SHARMA
Lyrics
(Alka, Please apne aap ko surrender kar do
Police force ne tumhe charo ore se gher liya hai)
Ha ha ha.. Surrender?
Zehreeli tarannum ka hissa hai
Yeh shehar-e-jahannum ka qissa hai
Yahaan bandookon ke paas bhasha hai
Mohabbat ka khooni tamasha hai
Iss bhasad mein ek thi Rani
Baroodon ka woh pee ke paani
Pattharon paalne mein paida hui woh nashtari..
Revolver Rani ki thaayn, thaayn, thaayn
Hai jungli jawaani ki thaayn, thaayn, thaayn
Revolver Rani ki thaayn, thaayn, thaayn
Hai jungli jawaani ki thaayn, thaayn, thaayn
(Thaane se report aa gayi hai sir
Chhati ghati ki firing ke piche Alka ka hi hath tha
Oh damn it! Alka Alka Alka
Ye cheez kya hai Alka ??)
Tili baba ba ba ba dui da
Tili baba ba ba ba dui da
Taaye ro, taay ro, taay ro, taay ro, taay
ha ha ha ha..
Uske khilono mein khanjar tha, kenchi thi
Uski hatheli pe chhaala tha
Uske gharati bhi bichhoo thhe, billi thi
Usko sayyaron ne paala tha
Aayi jawaani toh woh janaani
Kheli apno ke khoon se, junoon se
Jungle ko jeeta, mutthi mein bheencha
Uske phira na jee saki sukoon se
Phir qisse mein jo mod aaya
Dil churaane jo chor aaya
Woh tha gudda aankh neeli zehreeli soorat liye
Kari uss kameene ne thaayn thaayn thaayn
Mohabbat ke seene mein thaayn thaayn thaayn
Revolver Rani ki thaayn, thaayn, thaayn
Hai jungli jawaani ki thaayn, thaayn, thaayn
Woh khooni daldal ke manzar mein rehti thi
Par uske sapne salone thhe
Uski haveli mein jhoomar thhe, naukar thhe
Kaanton ke lekin bichhu bhi thhe
Kaante nikaale hanske uchhaale
Gham ke samandar ko pee gayi majaak mein
Uski mohabbat thi aisi hadd tak
Jaise jeeta ho ishq inquilab mein
Aasmaan bhi dehal ke roya
Bijliyon mein machal ke roya
Maut jis din gungunayi
Saanson mein uski suno
Yeh uski kahaani hai thaayn, thaayn, thaayn
Yeh sabko zabaani hai thaayn, thaayn, thaayn
Revolver Rani ki thaayn, thaayn, thaayn
Hai jungli jawaani ki thaayn, thaayn, thaayn
(Bad news hai sir,
Hum Alka ko nahi pakad paaye,
Mujhe maaloom tha. Damn it!)