Ram ali song is from and it is sung by .It stars and in leading roles. This song is penned by and composed by . This song was released on 01 Jan 2018.
Ram ram ali ali..
Ram ram ali ali..
Ram ram ali ali..


Man mein hai bas tu hi tu
Aankhon mein tera jalwa
Kashi kaba mein kya dhoondu
Kya tu ram kya tu allah
Allah… allah…


Kaun tu tera naam kya
Kya hai majhab kya jubaan
Kya hai teri sarhad
Ye zameen ya woh aasman
Chahat hai tu hi ibbadat hai tu
Masjid shivalo mein phir kaid hai kyun
Tu toh wahi hai jo mein chaahu
Manu toh allah naa manu toh kuch bhi nahi


Yeh deewanagi, hai bas naam ki
Socho toh sahi
Kya ram ram, kya ali ali
Phir yeh zindagi hai kya kaam ki
Jo samjha nahi
Kya ram ram, kya ali ali
Kya ram ram, kya ali ali


Kya tu yeh hai ye sochta
Kaisa hai tera yeh jahaan o..
Sahan o dil kyun tune diye
Inn se main kya kiya
Rooh tu rooh tu
Chaaron su tu
Phir bhi dar dar main tujhko hi dhoondu
Kashmkash hai, kya tu sach hai
Manu toh ishwar naa manu toh bhoot hai


Yeh deewanagi hai bas naam ki
Socho toh sahi
Kya ram ram, kya ali ali
Sab mein hai wohi, sab kuch hai wohi
Badla naam hi
Kya ram ram, kya ali ali
Kya ram ram, kya ali ali


Ram ram ali ali…


Yeh duniya woh jannat
Jo khuda ko khud mein paayein
Ye majhab ye sarhad
Insaan ke bharam sab
Ye deewarein kab tak ho kab tak paraye
Toh jaan le, pehchaan le


Rab ke hum sab bande hain
Rab hai ram aur ali bhi
Oh hooo…
Sabse unchi mohabbat hai
Mane toh insaan naa mane hai ajnabi


Yeh deewanagi hai bas naam ki
Socho toh sahi
Kaafir zindagi hai kis kaam ki
Jo samjha nahi
Yeh deewanagi hai kuch bhi nahi
Kaafir zindagi hai kis kaam ki
Jo samjha nahi
Kya ram ram kya ali ali
Sab mein hai wohi
Woh ram ram woh ali ali


Sab kuch hai wohi, sab mein hai wohi
Badla naam hi
Woh ram ram.. woh ali ali
Sab kuch hai wohi, sab mein hai wohi
Badla naam hi
Woh ram ram woh ali ali
Woh ram ram woh ali ali…