Paise Ki Pahachaan Yahaan Lyrics - Pehchan | Manoj Kumar | Sulochana | Balraj Sahni | Mohammad Rafi
in Movies
Watch the Video
Song Information
Paise ki pahachaan yahaan song is from Pehchan (1970) and it is sung by Mohammad Rafi.It stars Manoj Kumar, Sulochana, Balraj Sahni, Chand Usmani in leading roles. This song is penned by Neeraj and composed by Shankar, Jaikishan. It is produced by Sohanlal Kanwar. This song was released on 09 Aug 1970.
Lyrics
Paise ki pehchan yahan insaan ki keemat koi nahin
Bach ke nikal ja is basti mein karta mohabbat koi nahin
Biwi behan maan beti na koi paise ka sab rishta hai -2
Aankh ka aansoo koon jigar ka mitti se bhi sasta hai
Mitti se bhi sasta hai
Sabakaa teri jeb se nata teri zuroorat koi nahin
Bach ke nikal ja is basti mein karta mohabbat koi nahin
Shok gunaahon ki yeh mandi meetha zehar jawaani hai -2
Kehte hain imaan jise wo kuchh noton ki kahani hai
Kuchh noton ki kahani hai
Bhookh hai mazhab is duniya ka aur haqiqat koi nahin
Bach ke nikal ja is basti mein karta mohabbat koi nahin
Zindagi kya hai cheez yahan mat poochh aankh bhar aati hai -2
Raat mein karti byaah kali wo bewaa subah ho jaati hai
Bewaa subah ho jaati hai
Aurat ban kar is kooche mein rehti aurat koi nahin
Bach ke nikal ja is basti mein karta mohabbat koi nahin
Karta mohabbat koi nahin