Padh likh ke badaa ho ke tu ek kitaab likhanaa song is from and it is sung by .It stars , , and in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Mukesh Bhatt, Pooja Bhatt. This song was released on 15 Nov 1998.
padh likh ke bada ho ke tu ek kitab likhna
apne sawalo ka tu khud hi jawab likhna
padh likh ke bada ho ke tu ek kitab likhna
apne sawalo ka tu khud hi jawab likhna
aa aa aa

hatho se jinka daaman ek din hai chhut jana
taaro ke dubte hi jinko hai tut jana
ye aankhe dekhti hai kyun aise khqaab likhna
apne sawalo ka tu khud hi jawab likhna
ha aa aa

maine to pyar ko hi mazhab bana liya hai
is dil ko dil ki duniya ka rab bana liya hai
imaan ho gaya kya mera kharab likhna
apne sawalo ka tu khud hi jawab likhna
ha aa aa

kahte hai log unki rasmo ko maine toda
ye faisla bhi maine teri samajh pe chhoda
meri khatao ka tu pura hisaab likhna