Noor-e-khuda song is from and it is sung by , and .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Hiroo Johar, Gauri Khan. This song was released on 12 Feb 2010.
O... Noor-e-Khuda

Ajnabi mod hai, khauf har oar hai
Har nazar pe dhuan chhaa gaya
Pal bhar mein jaane kya kho gaya
Aasman zard hai, aahein bhi sard hain
Tann se saya juda ho gaya..
Hmm.. pal bhar mein jaane kya kho gaya

Saans ruk si gayi, jism chhil sa gaya
Toote khwabon ke manzar pe
Tera jahaan chal diya

Noor-e-Khuda, Noor-e-Khuda
Tu kahan chhupa hai hamein yeh bata
Noor-e-Khuda, Noor-e-Khuda
Yun na hamse nazrein phira
Noor-e-Khuda, Noor-e-Khuda
Tu kahan chhupa hai hamein yeh bata
Noor-e-Khuda, Noor-e-Khuda
Yun na hamse nazrein phira Noor-e-Khuda...

Noor-e-Khuda

Ho.. nazrein karam farma hi de
O.. deen-o-dharam ko jaga hi de
O jalti hui tanhaiyan, roothi hui parchhaiyan
Kaisi udi yeh hawa, chhaya yeh kaisa sama...
Rooh jam si gayi, waqt tham sa gaya
Toote khaabon ke manzar pe tera jahan chal diya..

Noor-e-Khuda, Noor-e-Khuda
Tu kahan chhupa hai hamein yeh bata
Noor-e-Khuda, Noor-e-Khuda
Yun na hamse nazrein phira

Ujade se lamhon ko aas teri
Zakhmi dilon ko hai pyaas teri
Har dhadkan ko talash teri
Tera milta nahi hai pata
Khaali aankhein khud se sawaal karein
Aman ki cheekh behaal karein
Behata lahu fariyaad kare
Tera mit.ta chala hai nishaan
Rooh jam si gayi, waqt tham sa gaya
Toote khaabon ke manzar pe tera jahan chal diya..

Noor-e-Khuda, Noor-e-Khuda
Tu kahan chhupa hai hamein yeh bata
Noor-e-Khuda, Noor-e-Khuda
Yun na hamse nazrein phira

Noor-e-Khuda, Noor-e-Khuda
Aaj kal tu kahan hai
Noor-e-Khuda, Noor-e-Khuda
Aaj kal tu kahan hai
Noor-e-Khuda...