Naam tera bhale ho song is from and it is sung by .It stars , and in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Arun Bhatt, Kishore Vyas. This song was released on 01 Jan 2018.
Prem ki jogan dar pe aayi
Bigdi meri bana di
Ya to saje sapno ki doli
Ya phir chita saja de


Naam tera bhale
Ho kanhaiya bada
Naam tera bhale
Ho kanhaiya bada
Aaj jo ji me aaya wo
Kah jaungi kah jaungi
Tune radha ko
Tadpa diya umar bhar
Tune radha ko
Tadpa diya umar bhar
Main to radha nahi hu
Jo sah jaungi sah jaungi
Naam tera bhale
Ho kanhaiya bada


Hum to tujhko
Pukara kiye raat din
Hum to tujhko
Pukara kiye raat din
Tujhko patthar se
Parmatma kar diya
Phool charno me
Tere chadhaye bohot
Mere daman ko kaanto se
Kyun bhar diya aaj dar pe tere
Aaj dar pe tere aansuo me mere
Tu bhi bah jayega main
Bhi bah jaungi bah jaungi
Main to radha nahi hu
Jo sah jaugi sah jaungi
Naam tera bhale
Ho kanhaiya bada


Meri shraddha ka
Ye taar tute nahi
Meri shraddha ka
Ye taar tute nahi
Aaj kah de ke
Sachmuch hi iswar hai tu
Tujhme hire ke jaisi
Hai sachi chamak
Ya bata de ke bas ek
Patthar hai tu
Aan meri parbhu
Aan meri parbhu
Na bachayega tu
Tu hai patthar ye duniya se
Kah jaungi kah jaungi
Main to radha nahi hu
Jo sah jaugi sah jaungi
Naam tera bhale
Ho kanhaiya bada
Aaj jo ji me aaya wo
Kah jaungi kah jaungi
O kanhaiya o kanhaiya
O kanhaiya o kanhaiya.