Naa Jane Kya Huwa Jo Tune Chhu Liya Lyrics - Dard | Hema Malini | Rajesh Khanna | Lata Mangeshkar
in Movies
Watch the Video
Song Information
Naa jane kya huwa jo tune chhu liya song is from Dard (1981) and it is sung by Lata Mangeshkar.It stars Hema Malini and Rajesh khanna in leading roles. This song is penned by Naqsh Lyallpuri and composed by Khayyam. It is produced by Shyam Sunder Shivadasani. This song was released on 31 Jul 1981.
Lyrics
naa jane kya hua jo tune chhu liya
naa jane kya hua jo tune chhu liya
khila gulab kee tarha meraa badan
nikhar nikhar gayee savar savar gayee
nikhar nikhar gayee savar savar gayee
banke aaina tujhe ai janeman
naa jane kya hua jo tune chhu liya
bikhra hai kajal fijao me bhigee bhigee hai shame
bundo kee rim-jhim se jagee aag thandee hawa me
aaja sanam yeh hasin aag ham ley dil me basa
naa jane kya hua jo tune chhu liya
khila gulab kee tarha meraa badan
naa jane kya hua jo tune chhu liya
aachal kaha mai kaha hoo yeh mujhe hosh kya hai
yeh bekhudee tune dee hai tere pyaar ka ye nasha hai
sun le jra saaj-ye-dil gaa raha hai nagma tera
naa jane kya hua jo tune chhu liya
khila gulab kee tarha meraa badan
naa jane kya hua jo tune chhu liya
kaliyo kee yeh sej mahke rat jage milan kee
kho jaye dhadkan me teree dhadkane mere mann kee
aa pas aa teree har sans me mai jau sama
naa jane kya hua jo tune chhu liya
khila gulab kee tarha meraa badan
nikhar nikhar gayee savar savar gayee
banke aaina tujhe ai janeman
naa jane kya hua jo tune chhu liya
naa jane kya hua jo tune chhu liya
naa jane kya hua jo tune chhu liya
naa jane kya hua jo tune chhu liya