mujhe bhii maut kaa paigaam Lyrics - Nasir Khan | Begum Para | Jabeen | Lata Mangeshkar

1955

Lyrics

nazar ke saamane jab lut gayaa jahaan meraa
koii bataaye ke kaun aayen(?) ab kahaan meraa
(mujhe bhii maut kaa paigaam aa jaaye to achchhaa ho)-2
hameshaa ke liye aaraam aa jaaye to achchhaa ho
(tumhaare saath jiine kii tamanna kii, huii rukasat)-2
agar ab zindagii kii shaam aa jaaye to achchhaa ho
mujhe bhii maut
(mubaarak ho tujhe to ab khushii ke jaam ai duniyaa)-2
(yahaan to zahar kaa ik jaam aa jaaye to achchhaa ho)-2
mujhe bhii maut