Akeli khoyi khoyi si, woh alhad ladki Ishq mein jaagi-soyi si diwaani ladki Kaanon mein jhumke, chaal mein angdaai Ek diwaane se dil lagaayi Sab ne kaha paagal ho gayi hai paagal ladki Ishq mein jaagi-soyi si diwaani ladki Naa duniya ki samajh, naa sahi aur galat ka fark Ishq ke rang se rang diya apne dil ka warak Naa tajurba naa samajhdaari, badi kamsin thi woh Toofaan mein kashti utaare, badi maasoom thi woh Ishq ki kamaai se ghar-ghar khelti Apni dhun mein mast, woh meera si ladki Chaand se dil laga kar zameen se wafaayein maangti Hawaaon se ladane waali, woh patang si ladki
Jab aankh khuli to thi nahin woh ab bhi wahi chhoti si ladki Dil ko hatheli par paros kar dene waali, woh bholi si ladki Kahte hain…kuch bhaari sa gujra tha uske naram se seene ke upar se Ab zara naaptol kar hansti hai, woh manmauji si ladki Haqeeqat darwaaje par dastak de rahi thi Bhala palak jhapkaati toh kiske liye, woh sapanon jaisi ladkiSamet kar apni aabroo phir kalam uthaaegi Khud apni kahaani likhegi, woh ziddi si ladki Purja purja kar jodegi apna seena Himmat kar phir dil lagaaegi, woh diler ladki lafzon ko dhaal banaakar har makaan paaegi Khud hi khud se baaten karne waali, woh kitaabon si ladki Teekhi si meethi si woh hirani si ladki Aaine mein dekho to mujh jaisi hi woh, mujh jaisi ladki.