muhabbat jataa ke aaNkhen laDaa ke Lyrics - Cuckoo | Rehana | Yakub | Mohammad Rafi | Chitalkar

1951

Lyrics

hasiinon kii gaadii men aashiq kaa ghodaa
bedard kismat ke haathon ne jodaa
{muhabbat jataa ke aankhen ladaa ke
chale aa rahe hain hajaamat karaa ke, hoy!
chale aa rahe hain hajaamat karaa ke} -2
kahaa main ne us se muhabbat karuungaa
tumhaare liye hii jiyuungaa maruungaa
ho jiyuungaa maruungaa
fataafat diyaa haay re
fataafat diyaa ek chaantaa jamaa ke
chale aa rahe hain hajaamat karaa ke
{kahaa main ne dil ko hathelii pe rakh ke
ye anamol motii hai le lo parakh ke
ji le lo parakh ke} -2
vo chalate bane
- achchhaa ji?
chalate bane dil ko thokar lagaa ke
chale aa rahe
kahaa thaa buzurgon ne dil naa lagaanaa jii dil na lagaanaa
jii dil na lagaanaa
muhabbat kii garmii se daaman bachaanaa
ho daaman bachaanaa ho daaman bachaanaa
magar ab to baithe
magar ab to baithe hain daaman jalaa ke
chale aa rahe