Mohabbat ek vaada hai song is from and it is sung by and .It stars , and in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Ved Rahi. This song was released on 25 Jan 1980.
Likha hai aasmano par
Mohabbat ka ye afsana
Mahfil hai dil gushan
O chali rahe rat ruksana


Chaman me jaha the hazaro gulab
Wahi ek shikari bhi tha janab
Kiya usne masum dil ka shikar
Unhe ho gaya aanhko
Aanhko me pyaar


Mohabbat ek wada hai ye
Wada tod mat jana
Mohabbat ek wada hai ye
Wada tod mat jana
Bane ho humsafar to raste
Me chhod kar na jana
Mohabbat ek wada hai
Ye wada tod mat jana


Ruksana ruksana
Tere hoth ka aashik
Tere nam ka diwana
Mere dil me hai tu
Meri aanhko me tu
Shama banke mai jalti hu
Khuda hafiz mai jalti hu
Mera dil sath le jana
Yahi kal rat fir aana


Mohabbat ke do phul khilne lage
Jamane se chhupke wo milne lage
Magar ek shab hua kya sabab
Wo jane jigar na aayi najar
Sanam bekarar kiya intzar
Bahut der bad hua ishk shad
Wo aayi magar e nasib
Na wo aan thi na wo shan thi
Na sahi libaz na andaz e khas
Ruksana kya hua ye kya
Hal bana rakha hai


Yahi hai rasme dunia mai
Bagwat kar nahi sakti
Kisi sahari se sahjadi
Mohabbat kar nahi sakti
Mera anzam kya hoga
Jo manjur e khuda hoga
Juda ho jayenge hu mkya
Kabhi ye ho nahi isakta
Jamane ke sabhi dastur
Ab mai tod aayi hu
Wo takhto taj wo daulat
Sabhi kuch chhod aayi hu
Mohabbat ek wada hai ye
Wada tod mat jana
Mohabbat ek wada hai ye
Wada tod mat jana
Bane ho humsafar to raste
Me chhod kar na jana
Mohabbat ek wada hai


Mubarak ho ye azadi
Piyo ye jam sahjadi
Nirala jo mauka ye andaz tha
Shikari bada hi daga baz tha
Pila kar koi nind wali sarab
Use chod kar chal diya wo janab
Dawa ka asar jab jara kam hua
Khuli aankh uski bahut gum hua
Khuda jane wo kho gaya tha kaha
Jaha wo gaya tha wo pahuchi waha
Pada mast tha wo
Na tha hosh me kisi gair
Ladki ki aghosh me
Hakiqat hai kya jab pata chal gaya
Khuda ki kasam tan badan jal gaya
Utarne laga uski aankho me khun
Ke bas tan li usne banduk yu.