LyricsTashan

Milti Hai Ahledin Ko Rahat Lyrics - Alam Ara Ki Beti | Tuntun | Daljeet | Prakash | Suman Kalyanpur

in Movies

Watch the Video

Song Information

Milti hai ahledin ko rahat song is from and it is sung by .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Desai Kala Mandir. This song was released on 01 Jan 2018.

Lyrics

Milti hai ahledin ko rahat namaz me
Poshida hai khuda ki mohabbat namaz me
Milti hai ahledin ko rahat namaz me
Poshida hai khuda ki mohabbat namaz me


Sun kar azaan jo koi maszid me jayega
Jannat me apna ghar wo yakinan banayega
Allah ka karam hai namazi ke waste
Sirdash hai naram hai namaze ke waste
Majhab ke har asul ki sartaj hai namaz
Or aashiqon ke waste me mehraz hai namaz


Mashur hai yeh ek namazi ka wakiya
Sahid ki vidai ka gazi ka wakiya
Rahe khuda me ladne chala ek nojawa
Ruksat hua jo beta to boli yeh uski ma
Rakha asul pak ki farman ka khyal
Ek waqt ki namaz bhi chhute na mere lal


Jannat ki hai yeh punji bujurgo ki ray me
Gazi namak padhte hai devo ke saye me
Samjha chuki jab apni chahete ko pyari maa
Wada kiya namaz ka ruksat hua jawa
Duniya judaai ka ye sama dekhti rahi
Beta chala jihaad ko maa dekhti rahi
Kurban hone raj dulara chala gaya
Afsos budhi maa ka sahara chala gaya
Mamata tadap ke rah gayi arman so gaye
Kal kissa is tarah se kayi sal ho gaye
Maa ki har ek aarzu gum se badal gayi
Bete ka khat na aaya na koi khabar mili


Lekin wo har namaz me karti thi yeh dua
Allah muh dikhana mujhe mere lal ka
Ek din ka wakiya hai ke jab padh chuki namaz
Kahne lagi khuda se ke aye rabdekar saj
Ro ro ke tere samne kab tak dua karu
Aaye wo din ke sukhar ka sajda ada karu


Mashul thi dhadkano me wo bejuda
Or us taraf dikhata hai manjar ye aasma
Ek jakham sa kaleje pe taja liye huye
Kuch log aa rahe hai janaja liye huye
Ranjo alam se unka jigar pas pas hai
Kandhe pe ek jawan mujahid ki lash hai
Afsos budhi maa ko isi ki talash thi
Wo lash us garib ke bete ki lash thi
Rakha gaya janaja jab uske makan par
Bijli si ek chamakne lagi aasman par
Andaher hai jamane pe koi asar nahi
Bete ki lash aayi hai maa ko khabar nahi


Dekhegi lash maa to kayamat uthayegi
Maiyyat jawan bete ki dekhi na jayegi
Kya jurm hai sitam hai idhar mar gaya jawa
Or us taraf khuda se dua mangti hai maa
Wakif hai tu garib abhagan ke hal se
Allah ab mila de tu mujhe apne lal se


Aayega mera lal to dudha banaunga
Mai uske sar pe phoolo ka sehra sajaungi
Hai ek hi to aasra wo mujh garib ka
Ghar ka chirag hai to ujala nasib ka
Jab mang kar dua uthi wo sahe benasib
Dekha tamam logo ne ye wakiya azib


Aisa asar dihkaya duao namaz ne
Murde me jaan dal di us benayaz ne
Hairat se dekhne laga har chota or bada
Beta utha or amma ke kadmo pe gir pada
Kya lutf hai namaz pe yeh man jaiye
Yani khuda ki shan ke kurban jaiye
Kurban jaiye kurban jaiye
Kurban jaiye kurban jaiye.

Related Songs

More songs from Alam Ara Ki Beti (1960)
More songs of Tuntun
More songs of Daljeet
More songs of Prakash
More songs of Suman Kalyanpur