Mere watan mein maine suni hain song is from and it is sung by and .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Manoj Desai, Nazir Ahmed. This song was released on 08 May 1992.
Hmm.. hmm..

Mere watan mein maine suni hain
Tere watan ki kahaaniyan
Tujh mein hain wo sab nishaaniyan...
O dilbar jaaniyan

Is aashiqui mein maine suni hain
Is aashiqui mein maine suni hain
Logon se jitni kahaaniyan
Tujh mein hain wo sab nishaaniyan...
O dilbar jaaniyan

Na tha gumaan tak aise achaanak
Na tha gumaan tak aise achaanak
In parvaton ki in ghaatiyon mein...
Milna tha hamko in vaadiyon mein
Sa ga pa ma pa ma pa ma ga ma sa ga ni sa

Dekho kahaan se jaane kahaan par
Dekho kahaan se jaane kahaan par
Le aayi hamko jawaaniyan
Tujh mein hain wo sab nishaaniyan...
Sab nishaniyan
O dilbar jaaniyan..
O dilbar jaaniyan..

Baaton mein khushbu, aankhon mein jaadu
Meri pasand ka mehboob hai tu
Mehboob hai tu
Meri pasand ki mehboob hai tu
Meri pasand se bhi khoob hai tu
Sa ga pa ma pa ma pa ma ga ma sa ga ni sa

Ek doosre pe marne ko Rab ne
Ek doosre pe marne ko Rab ne
Di hain hamein zindgaaniyan
Tujh mein hain wo sab nishaaniyan...
Sab nishaaniyan
O dilbar jaaniyan..
O dilbar jaaniyan

Aankhon mein jhanko tasveer dekho
Aankhon mein jhanko tasveer dekho..
Mere badan mein jitna lahu hai
Har boond ke andar bas tu hi tu hai
Tu hi tu hai
Sa ga pa ma pa ma pa ma ga ma sa ga ni sa

Jeena hamara mushkil na kar dein
Jeena hamara mushkil na kar dein
Yeh pyaar ki meharbaaniyan
Tujh mein hain wo sab nishaaniyan...
Sab nishaaniyan

Mere watan mein maine suni hain
Tere watan ki kahaaniyan
Is aashiqui mein maine suni hain
Logon se jitni kahaaniyan
Tujh mein hain wo sab nishaaniyan...
Sab nishaaniyan
O dilbar janiyan...
O dilbar janiyan