Mere Munna Lyrics - Dil Jo Bhi Kahey... | Amitabh Bachchan | Revathi | Karan Sharma | Shankar Mahadevan
in Movies
Watch the Video
Song Information
Mere munna song is from Dil Jo Bhi Kahey... (2005) and it is sung by Shankar Mahadevan.It stars Amitabh Bachchan, Revathi, Karan Sharma, Bhoomika Chawla in leading roles. This song is penned by Javed Akhtar and composed by Ehsaan Noorani, Loy Mendonsa, Shankar Mahadevan. It is produced by Lawrence D'Souza, Romesh Sharma. This song was released on 23 Sep 2005.
Lyrics
Mere munna zara
Sunna baat itni baap ki
Mere munna zara
Sunna baat itni baap ki
Tumhein nahi iska
Pata ishq hain kya bala
Pyar kabhi ho jaaye
Toh bura hain ya bhala
Ho tajurbe se mere
Itna sikho mere munna
Soch samajhke apne
Dil ka rasta chunna
Sun lo aaj ham jo bhi
Kahe kal ham rahe ya na rahe
Sun lo aaj ham jo bhi
Kahe kal ham rahe ya na rahe
Dekho beta jeevan
Ek sanghasgh hain
Jab tak jeevan hain
Tab tak sangharsh hain
Samjho aur samjhane
Ki koshish karo
To be or not to be
To be or not to be
To be or not to be
Suno mere munna koi
Tammana dil ko ghere toh
Ek chehra hi aankho mein
Ghume shaam savere toh
Ek sapna hi jo dekho
Tum roj raato mein
Ek naam hi dohraao
Jo saari baato mein
Toh samjhna mere munna
Jo na hona tha woh ho gaya hain
Akla puri so gayi hain chain
Jitna bhi tha kho gaya hain
Pathharo pe munna tum
Na apne sar ko dhunnna
Soch samajhke apne
Dil ka rasta chunna
Sun lo aaj ham jo bhi kahe
Kal ham rahe ya na rahe
Sun lo aaj ham jo bhi kahe
Kal ham rahe ya na rahe
Mere munna zara
Sunna baat itni baap ki
Jo hain sunehra usko
Hamesha samajh na lena sona
Kaagaz ke phoolo mein
Khusbu na ho toh na rona
Ret chamakti hain toh
Lagti hain woh paani
Munna kabhi nahi karna
Tum aaisi nadaani
Dil hain ziddi dil hain nadaan
Uski baato mein tum nahi aana
Yaad rakhna mere munna
Bhulke bhi tum yeh na bhulana
Jo toot jaaye tum na
Sapne aaise bunna
Soch samjhke apne
Dil ka rasta chunna
Sun lo aaj ham jo bhi kahe
Kal ham rahe ya na rahe
Sun lo aaj ham jo bhi kahe
Kal ham rahe ya na rahe
Mere munna zara sunna
Baat itni baap ki.