Mein nay kabhi song is from and it is sung by . This song is penned by and composed by . It is produced by Brian O'Connell, Salman Ahmad. This song was released on 01 Jan 1996.
Kis soch main doobi zindagi
Kis yaad main khoay raastay
Kabhi tujh ko paanay ki justajoo
Kabhi tujh ko khonay kay gham mujhey
Yeh paana khona kuch nahin
Hona anhona kuch nahin
Sub chaon dhoop kay khwaab hain
Tujhey milnay ko betaab hain


Jee kay bhi dekha marr kay bhi dekha
Phir bhi main tanha raha
Mein nay tujh ko kabhi dekha bhi nahin
Oh aisa nahin keh koi nata bhi nahin
Rangon ko dekha hai
Asweerain dekhin mein nay
Khwaabon ko dekha hai
Tabeerain dekhin mein nay


Kahin jeet uratay humsafar
Kahin khaak main mil kar reh gaey
Koi baat na mujh say keh sakay
Meray hont hi sookh kar reh gaey
Unhain mera piyaar na mil saka
Mujhe tera piyaar na mil saka
Koi hoon gee teri majboorian
Jo ab tak hain yeh doorian


Jee kay bhi dekha marr kay bhi dekha
Phir bhi main tanha raha
Mein nay tujh ko kabhi dekha bhi nahin
Oh aisa nahin keh koi nata bhi nahin
Rangon ko dekha hai
Asweerain dekhin mein nay
Khwaabon ko dekha hai
Tabeerain dekhin mein nay.