Main tumhara hi rahoon song is from and it is sung by .It stars and in leading roles. This song is penned by and composed by . This song was released on 01 Jan 2018.
Raaste rangon mein kaise hai
Yeh raaste pyaar mein hai khushi
Bebasi tu hai tu nahi o zindagi


Barsaat shabnami
Barsi hai chehre pe
Ishraaq ka lamhaa
Hum tere daaman mein
Zamin pe rehke hum toh
Karein youn khayaal aasman ke


Dhoondne tujhe hum
Dekho kahaan chale
Dil ki iss zamin pe
Tere nishaan mile
Muhabbaton ki manzil pe
Phir se hum  jaake mil gaye


Khwaaishon ka jharna hai
Jharne se guzarna hai
Doob ke ubharna hai abhi
Dil diwaana hai
Raahi aashiqana hai
Safar ek bahaana hai
Saath toh nibhaana hai abhi
Dil thikaana hai


Saari raahein ruk jaati hain
Falak ki aankhein jhuk jaati hain
Sun lo chaar su
Sau sau baar kahoon
Mai tumhara tumhara hi rahoon


Ek baat reh gayi
Keh doon main ab tum se
Behkaaye ga jahaan
Na jaana door humse
Milna likha hi tha lo ab
Hum bhi mil gaye
Ab koi kya kare


Mushkilon mein tum bhi
Ba wafa mile
Warna har zamaane mein
Bewafaa chale
Raat din nigaahon mein
Tum hi tum khile
Ab koi kya kare


Zindagi safina hai
Iss mein hi toh jina hai
Leke jaaye lehren wahaan
Jahaan jaana hai
Tere hi sawaalon se
Tere hi khayaalon se
Mere haunsle hain jawaan
Maine jaana hai


Saari raahein ruk jaati hain
Falak ki aankhein jhuk jaati hain
Sun lo chaar su
Sau sau baar kahoon
Mai tumhara tumhara hi rahoon.