main nigaahen tere chehare se haTaa_uuN kaise Lyrics - Dharmendra | Shashikala | Supriya Choudhary | Mohammad Rafi
1964
Lyrics
main nigaahen tere chehare se hataa_uun kaise
lut ga_e hosh to phir hosh men aa_uun kaise
chhaa rahii thii terii mahakii hu_ii zulfon kii ghataa
terii aankhon ne pilaa dii to main piitaa hii gayaa
taubaa taubaa taubaa taubaa taubaa taubaa
vo nashaa hai ki bataa_uun kaise
merii aankhon men gile-shikave hain aur pyaar bhii hai
aarazu_en bhii hain aur hasarat-e-diidaar bhii
itane tuufaan main aankhon men chhupaa_uun kaise
shok nazaren ye sharaarat se na baaz aa_engii
kabhii ruuthengii kabhii mil ke palat jaa_engii
tujh se nibh jaa_egii main in se nibhaa_uun kaise