Maa santoshi tumne song is from and it is sung by . This song is penned by and composed by . This song was released on 01 Jan 2018.
maiya o maiya
maa santoshi tumne mujhpe upkar bada kiya hain
us maa ke bhi darshan karwa do
jis maa ne janam diya hain
jis maa ne janam diya hain

tumre hote kahe mujhe log bin maa ka
bolo maiya hain ye insaaf kahan ka
tumre hote kahe mujhe log bin maa ka
bolo maiya hain ye insaaf kahan ka
kuch karo aisa ke ho jaye
band muh duniya ka
us mamta ki devi se milwa do
jis maa ne janam diya hain
jis maa ne janam diya hain

mujh pe harpal rahi in charno ki chhaya
maine har sukh yaha bin maange hi paya
mujh pe harpal rahi in charno ki chhaya
maine har sukh yaha bin maange hi paya
vivash hokar aaj main kuch maangne ko aaya
mujhe charno me uske pahucha do
jis maa ne janam diya hain
jis maa ne janam diya hain

tukde tukde kaleja aankho me hain pani
tumse ojhal nahi maa dukho ki kahani
tukde tukde kaleja aankho me hain pani
tumse ojhal nahi maa dukho ki kahani
jaan de dunga jo meri baat nahi mani
kuch mujhko thikana uska do
jis maa ne janam diya hain
jis maa ne janam diya hain
maa santoshi tumne mujhpe upkar bada kiya hain
us maa ke bhi darshan karwa do
jis maa ne janam diya hain
jis maa ne janam diya hain
maiya o maiya
o maiya o maiya