Raatho ko apni palkon se Khwaab sajaane doh (khwab sajane doh) Phir khaabon ko aankhon se Neend churane doh...
Khamoshiyaan rakhti hain Apni bhi ek zubaan Khamoshi ko chupke se Sab keh jaane doh
Kuch toh hua hai (ye kya hua) Jo na pataa hai (ye jo hua) Kuch toh hua hai (samjho kuch samjho na)
Jo kadam kadam chalun Tujhe hi tay karun main Saanse bankar tujhe odh lun Tu khayaal sa mila hai Jisko gin sakun main Aadaton mein tujhe jod lun
Tujhse roshan raatein saari Tujhpe hi khatam baatein saari
Khamoshiyaan rakhti hain
Apni bhi ek zubaan Khamoshi ko chupke se Sab keh jaane doh
Kuch toh hua hai (ye kya hua) Jo na pataa hai (ye jo hua) Kuch toh hua hai (samjho kuch samjho na)
Tujhe ek baar pyaar se Jo chhu sakun main Waqt ko phir wahin rok doon Phir dil machal ke gar hadon ko bhool jaye Dhadkano ka safar chhod doon
Thune di hai saari khushiyaan Tu hai toh hai meri dhuniya
Khamoshiyaan rakhti hain Apni bhi ek zubaan Khamoshi ko chupke se Sab keh jaane doh
Kuch toh hua hai (ye kya hua) Jo na pataa hai (ye jo hua) Kuch toh hua hai (samjho kuch samjho na)