Kisi ke thukra kar song is from and it is sung by .It stars and in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Khushi, Prem Sethi. This song was released on 01 Jan 2018.
Kisi ke thukraakar armaan
Na jaao bedardi nadaan
Ye mausam roz nahin aata
Ye mausam roz nahin aata
Arre anjaan nahin aasan
Bahaaron ke aise samaan
Ye mausam roz nahin aata
Ye mausam roz nahin aata


Shamaa tak aakar parwaane
Kahaan jaata hai deewaane
Shamaa tak aakar parwaane
Kahaan jaata hai deewaane
Yoonhi kyun hota hai hairaan
Nazaakat mauke ki pahchaan
Ye mausam roz nahin aata
Ye mausam roz nahin aata
Kisi ke thukraa kar armaan
Na jaao bedardi nadaan
Ye mausam roz nahin aata
Ye mausam roz nahin aata


Sada ik baat nahin hoti
Haseen har raat nahin hoti
Sada ik baat nahin hoti
Haseen har raat nahin hoti
Bharosa kya ghataaon ka
Sada barsaat nahin hoti
Sada barsaat nahin hoti
Ye rut hai do din ki mehmaan
Na hogi kal koyal ki taan
Ye mausam roz nahin aata
Ye mausam roz nahin aata
Kisi ke thukraa kar armaan
Na jaao bedardi nadaan
Ye mausam roz nahin aata
Ye mausam roz nahin aata.