Khuda bhi jab tumhe Mere paas dekhta hoga Khuda bhi jab tumhe Mere paas dekhta hoga Itni anmol cheez de di kaise Sochta hoga!
Tu be-misaal hai Teri kya misaal doon Aasmaan se aayi hai Yehi keh ke taal doon Phir bhi koi jo pooche Kya hai tu kaisi hai Hathon me rang leke Hawa me uchaal doon
(hawaa mein uchhal doon..)
Khuda bhi jab tumhe Mere paas dekhta hoga Itni anmol cheez de di kaise Sochta hoga!
Jo bhi zameen tere paaon tale aaye Kadmon se chooke woh aasmaan ho jaaye Tere aage pheeke pheeke Saare shringar hai Main toh kya farishte bhi
Tujhpe nissar hain Garmi ki shaam hai tu Jaadon ki dhoop hai Jitne bhi mausam hai Tere karzdaar hain
Khuda bhi jab tere Andaaz dekhta hoga Itni anmol cheej de di kaise Sochta hoga!
Chehra hai ya jaadu Roop hai ya khwab hai Aankhein hain ya afsaana Jism ya kitaab hai Aaja tujhe main padh loon Dil mein utaar loon
Hothon se dekhun tujhe Aankhon se pukar loon Khwahishein ye kehti hai Kehti rehti hai Leke tujhe baahon mein Shaamein guzaar loon
Khuda bhi ab tujhe Din raat dhoondtha hoga Itni anmol cheej de di kaise Sochta hoga!