Kal Ke Apne Na Jaane Kyun Lyrics - Sharmila Tagore | Abhi Bhattacharya | Asit Sen | Asha Bhosle
1975
Lyrics
Kal ke apne na jaane kyun ho gaye aaj paraaye
Reit ka sagar, pyar ka sapna pyasa hi tarsaaye

Pyar mein kya kya rang bhare the
Likhi thi do taqdeerein
Pyar mein kya kya rang bhare the
Likhi thi do taqdeerein
Aayi jo andhi bankar mit gayi
Baadal ki tasveerein
Pyar ka rang hai jaane kaisa
Rang daag ban jaaye

Dosh nahi hai toofanon ka maajhi hi le doobe

Deewanapan bankar reh gaye
Man ke yeh mansoobe
Taashon ka ghar kaam na aaye, bante hi gir jaye