Kabhi khole na tijori ka taala song is from and it is sung by .It stars and in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by L. V. Prasad. This song was released on 09 Oct 1974.
ho kabhi khole na tijori ka taala
haan mera sasura badha paise waala
tun tuna tun tuna tun tuna
kabhi khole na tijori ka taala
haan mera sasura badha paise waala
tun tuna tun tuna tun tuna
ho kab niklega iska diwaala
haan mera sasura badha paise waala
tun tuna tun tuna tun tuna

hat jaao mat shor karo
hat jaao mat shor karo
sasure ko mat bore karo
sasura acchha banda hai
maana kaala dhandha hai
unchi mill ka maalik hai
chhote dil ka maalik hai
unchi mill ka maalik hai
chhote dil ka maalik hai
itna dhan kaise aaya, main bolun aise aaya
lekar naam naseebo ka
lekar naam naseebo ka
chusa khun gareebo ka
sadhu bankar ye daaka daala
haan mera sasura badha paise wala
tun tuna tun tuna tun tuna

miliye ab is gori se, miliye ab is gori se
meri prem chakori se
kaisi pyari lagti hai, abla naari lagti hai
gaaon ko dhokha de aayi
mujhko shehar mein le aayi
gaaon ko dhokha de aayi
mujhko shehar mein le aayi
kad ki thodi chhoti hai, par shtranj ki goti hai
aisi chaal ye chalti hai
aisi chaal ye chalti hai
kehte jaan nikalti hai
kaisi aurat se pad gaya paala
haan mera sasura badha paise waala
tun tuna tun tuna tun tuna

ab tum poochho kaun hai ye
ab tum poochho kaun hai ye
kitni der se maun hai ye
ye sevak hai swami ka
rishtedaar hai tommy ka
kadchha hai na khamcha hai
ye chhota sa chamcha hai
kadchha hai na khamcha hai
ye chhota sa chamcha hai
kutte sa peeche daude, pakde to phir na chhode
achha is ka kaam nahin
achha is ka kaam nahin
par ye namak haraam nahin
chori ke maal ka ye rakhwaala
haan mera sasura badha paise waala
tun tuna tun tuna tun tuna

kabhi khole na tijori ka taala
kab niklega iska dewaala
haan mera sasura badha paise waala
tun tuna tun tuna tun tuna