Hum Toh Loot Gaye Husn Ke Bazaro Me Lyrics - Yeh Kaisi Hai Aashiqui | Zaheer Raj | Pamela Jain
in Movies
Watch the Video
Song Information
Hum toh loot gaye husn ke bazaro me song is from Yeh Kaisi Hai Aashiqui (2016) and it is sung by Zaheer Raj and Pamela Jain.It stars Rajdeep, Sukhbir Lambha and Atul Soni in leading roles. This song is penned by Mahil Paldhvi, Amitabh Ranjan and composed by Shivam Bagchi. It is produced by G.n. Bhai,vandana b. Raval. This song was released on 01 Jan 2018.
Lyrics
hum to loot gaye yu, husn ke bazaro me
mehki baharo me, rangeen nazaaro me
hum to loot gaye yu, husn ke bazaro me
mehki baharo me, rangeen nazaaro me
hum to loot gaye yu, husn ke bazaro me
mehki baharo me, rangeen nazaaro me
ha hum to loot gaye yu, husn ke bazaro me
mehki baharo me, rangeen nazaaro me
mehki baharo me, rangeen nazaaro me
bade gore bade masoom nazar aate ho
humari jaan pe kya kya, ye zulm dhaate ho
na ye khanjar se, na chaaku se vaar karte hai
ye qatilaana nazar se shikaar karte hai
badan me khushbu hai, phulo bhari nazaakat hai
ye ladki ladki nahi hai, koi qayamat hai
ye ladki ladki nahi ye, koi qayamat hai
hum to loot gaye yu, husn ke bazaro me
mehki baharo me, rangeen nazaaro me
mehki baharo me, rangeen nazaaro me
wafa ka jaal bichakar hume fasaate ho
nazar milake deewana hume banate ho
teri neeyat wo, khayaalaat samajhti hu main
nahi nadaan hu, har baat samajhti hu main
gar main chhu lun to, kante gulaab ho jaaye
nazar milaaun to paani sharaab ho jaaye
nazar milaaun to paani sharaab ho jaaye
mila naa aapke jaisa koi hazaaro me
nahi bahaaro me, naa chaand taaro me
nahi bahaaro me, naa chaand taaro me
tumhare hotho ki laali, haseen gaalo me
sharaab rakhi ho saaki ne, jaise pyaalo me
humare hotho se jo bhi sharaab pee lega
humara dawaa hai har haal me wo jee lega
chhalke pyaale ki vaadi me, dono kho jaaye
tumhare julf ke saaye me, aake so jaaye
humari aankhon me, chahat ka jo khazaana hai
tamaam umra tere waaste lutaana hai
tamaam umra tere waaste lutaana hai
hum to mit gaye teri, hirni jaisi chaalo me
gore gore gaalo me kaale kaale baalo me
kaale kaale baalo me, gore gore gaalo me
mila naa aapke jaisa, koi hazaaro me
nahi bahaaron me, na chaand taaro me
hum to mit gaye teri, hirni jaisi chaalo me
kaale kaale baalo me, gore gore gaalo me
gore gore gaalo me, kaale kaale baalo me
kaale kaale baalo me, gore gore gaalo me
gore gore gaalo me, kaale kaale baalo me