hue hain tum pe aashiq ham, bhalaa maano buraa maano Lyrics - Mumtaz | Pran | Asha Parekh | Mohammad Rafi

1965

Lyrics

hue hain tum pe aashiq ham, bhalaa maano buraa maano
ye chaahat ab naa hogii kam, bhalaa maano buraa maano
## guitar ##
ye ruuthii sii nazar ye maathe kii shikan - 2
libaas-e-rang men ye bal khaataa badan
hai pyaasaa pyaar kaa ye saaraa baankapan - 2
ho ho ho pyaar kyaa hai jaan-e-tamannaa ab to pahachaano
hue hain tum pe
## guitar ##
aji ik ham to kyaa, ho tum aise hasiin - 2
farishtaa bhii tumhe, agar dekhe kahin
to jannat bhuul ke bahak jaaye yahiin - 2
ho ho ho pyaar kyaa hai
hue hain tum pe
## guitar ##
tumhi ko chun liyaa, nazar kii baat hai - 2
liyaa gam aapakaa, jigar kii baat hai
ho tum phir bhii khafaa, asar kii baat hai - 2
ho ho ho pyaar kyaa hai
hue hain tum pe
## guitar ##